MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community (http://www.MeraForum.Com/index.php)
-   Hadees Shareef (http://www.MeraForum.Com/forumdisplay.php?f=15)
-   -   Hadees Of The Day (http://www.MeraForum.Com/showthread.php?t=46398)

Anokhi<3 10-10-2010 07:10 PM

Hadees Of The Day
 
Asalam-o-Alaykum :)

Aj say yahan aik silsila shuro kerne ja rahi hon jis may mein rozana aik Hadees ap logon k sath share kerongi or is k sath ap logon ko bhi ager koi hadees maloom hoti hai to ap bhi usay yahan daily post ker dein.
Is terhan ap ko bhi sawab milain ga or mere un tamam perhne walon ko bhi jo in Ahadees ko rozana perhain gay.

Mein aj pehli hadees ap logon say share kerna chhahongi or INSHALLAH ainda bhi kerty rahongi.

سیدنا عبد اللٌھ بن عمر رضی اللٌھ عنہا نبی صلی اللٌھ علیھ وسلم سے
روایت کرتے ہیں کھ آپ صلی اللٌھ علیھ وسلم نے فرمایا کھ (امام کی
بات) سننا اور ماننا (ہر شخص پر) ضروری ہے، تاوقتیکھ اسے گناہ
کی بات کا حکم نھ دیا جائے پھر اگر کسی گناہ کا حکم دیا جائے تو نا
سننا (ضروری) ہے اور نا ماننا۔

بخاری:کتاب الجہاد

Zafina 10-10-2010 08:51 PM

Re: Hadees Of The Day
 
Quote:

Originally Posted by Anokhi<3 (Post 853903)

JazakaALLAH MashaALLAH brilliant IDEA ... :) ALLAH Apko is silsilay ku bharhay ki toofeeq dey Aamenn .... JazakaALLAH hu Khairun :)

Anokhi<3 10-10-2010 10:03 PM

Re: Hadees Of The Day
 
Thnkuu Zafina :)

FarazAli 10-10-2010 10:11 PM

Re: Hadees Of The Day
 
JazakAllah

bohat hi khubsorat hai :)

Anokhi<3 10-10-2010 10:15 PM

Re: Hadees Of The Day
 
Shukriya Faraz :)

FarazAli 10-10-2010 10:19 PM

Re: Hadees Of The Day
 
no thanxxx thats ma pleasure really grt Job Anokhi MashahAllah :)

Anokhi<3 10-10-2010 10:28 PM

Re: Hadees Of The Day
 
Quote:

Originally Posted by FarazAli (Post 853960)
no thanxxx thats ma pleasure really grt Job Anokhi MashahAllah :)

Hmmm :)

Anokhi<3 10-10-2010 10:37 PM

Re: Hadees Of The Day
 
Nabi (s.a.w) ne farmaya:

Jis ney apni Namazoon ki fikar chorr di, ALLAH ney uss ki fikar chorr di....

Anokhi<3 10-10-2010 10:39 PM

Re: Hadees Of The Day
 
Hazrat Abdullah bin umer (R.A) se riwayat hai k Nabi (s.a.w) ne fermaya Jannat ramazan k liye saal k aaghaaz se aaney waley saal tak (yani aik ramazan k khatmey se agley ramazan ki amad tak) sajai jati hai. JAb ramazan ka pehla din ata hai tu arsh k neechey aik hawa chalti hai jo jannat k paton mein guzarti hoi aaho chashm horon k oper pohancti hai. Iss hawa ko pa ker horein kehti hain k Aye Humarey Rab! humain apney (naiko'kaar) bando mein se ayse shohar ata ker jin se humari aankhein thandhi ho'n aur jin ki aankhein hum se thandi ho'n

Anokhi<3 10-10-2010 10:40 PM

Re: Hadees Of The Day
 
Hazart Abbu huraira (R.A) bayan kertey hain k Nabi (s.a.w) ne fermaya Ramazan ki aakhri raat ko mairi umat ki maghfirat ho jati hai. Sahaba Akram (R.A) ne arz kya, Ya Rasool (s.a.w) kya yehi woh laila tul qader hai? Aap (s.a.w) ne irshad fermaya: nahi, bal-k mazdoor ko iss ki mazdoori uss waqt di jati hai jab woh kaam mukammal ker laita hai..

All times are GMT +5. The time now is 05:44 PM.

Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.