Ik Khofzada Jeevan Le Kar
Ik khofzada jeevan le kar Main maut k ghar mein rehta hoon Jahan zaat nasal k jhagron per Hithayar uthaye jatay hain Har roz kayi masoomon ka Jahan khoon bahaya jata hai Jahan maut bhi matam karti hai Main ussi nagar mein rehta hoon Ik khofzada jeevan le kar Main maut k ghar mein rehta hoon Har roz kisi Maa ka beta Be maut hi mara jata hai Har roz kisi ki mayyat ko Dharti mein utara jata hai Jis shehar ka naam Karachi hai Main uss shehar mein rehta hoon |
Re: Ik Khofzada Jeevan Le Kar
Greaat one habi
|
Re: Ik Khofzada Jeevan Le Kar
thanks pakeeza
|
Re: Ik Khofzada Jeevan Le Kar
Nice one
magar ma tu bar bar yahi parta raha REHTA HUN, REHTA HUN esay tu na karo dil bethta ha mera pata nai baki nazam kaisi thi magar ya Rehta hun ki Jaga agar Rehti hu likhti tu ma parh ka batata kaisi thi ma tu Rehta hun rehta hun parh parh kar daar mayoos hu gaya tha etna Khair mazak apni jaga very nice posting :goodpost: |
Re: Ik Khofzada Jeevan Le Kar
):
Bohaat khooob |
Re: Ik Khofzada Jeevan Le Kar
hmmm
niceee |
Re: Ik Khofzada Jeevan Le Kar
:bu:..
|
Re: Ik Khofzada Jeevan Le Kar
Quote:
u rehta rehta na parhte uss ki jaga rehti rehti parh lete :blaugh1: thanksss |
Re: Ik Khofzada Jeevan Le Kar
thanks queen siso, anam and jiger
|
Re: Ik Khofzada Jeevan Le Kar
Awain parh laita, khushfahmi ma rahow or bad ma pata chalay , khodaya pahaar, nikalay chohaa
Chohiyahh nikalay tu b khair ha chohaay ka mainay achaar dalna ha huh :blaugh1: |
All times are GMT +5. The time now is 06:48 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.