PDA

View Full Version : !!~~DeDiCaTiOnS To MoM~~!!


ShArArTi MuNdA
03-25-2009, 07:28 AM
Salam Everyone,

Well i decided to make a poetry Thread where we can share poetry in da memories or in da praise of our mom,,dad (parents).

yahan per aap main mom ya dad ya parents ko dedicate ki hoye poetry share karounga aur agar aap log chahye tu aap b ker saktey hain :)

If u guys do like my idea then welcome and if u don't like the idea then really ain't gonna matter to me :weight-lifter:




Payari maa mujey aapki duaa chahiye
aapkey anchal ki thandi hawa chahiye
Payari maa mujey aapki duaa chahiye

lori ga ga muj ko sulati hain aap
muskara k swarey jagati hain aap
mujey wohi sawera,wohi roshni,wohi loriyan hamesha sada chahiye

aapki mamta k saye main jeeta houn main
thaam ker hath aapka chalta houn main
aapkey saharey se gir ker sambhalta houn main
yehi sahara, yehi mamta hamesha sada chahiye

aapki khidmat se duniya main azmaat humari
aapkey paoun main hai chuppi jannat humari
bas ussi jannat ka chota sa kinara chahiye
umer bhar aap ka sahara chahiye

Payari maa mujey aapki duaa chahiye

ShArArTi MuNdA
03-25-2009, 07:31 AM
Zindagi ki tapti dhoop mai ek thanda saya paya hai mai ne
Jab kholi aankh to apni maa ko muskorata howa paya hai mai ne

Jab bhi maa ka naam liya,
os ka beshomaar pyar paya hai mai ne

Jab koi dard mehsoos howa, jab koi mushkil aayi
Apne pehlo mai apni maa ko paya hai mai ne

Jaagti rahi who raat bhar mere liye
Jaane kitni raatein, osay jagaya hai mai ne

Zindagi ke har moadh(mor) par, jab howa gumrah mai
Iski hidaayat par, pakarli seedhi raah mai ne

Jis ki dua se har moseebat loat jaye,
aisa farishta paya hai mai ne

meri har fiker ko janne wali,
mere jazbaaton ko pehcanne wali,
aisi hasti payi hai mai ne

Meri zindagi sirf meri maa hai,
Isi ke liye to,
Is zindagi ki shama jala rakkhi hai mai ne

ShArArTi MuNdA
03-25-2009, 07:41 AM
Is Zulm Ki Duniya Main Faqat Piyar Meri Maa
Hay Meray Liye Saya-E-Dewar Meri Maa
Nafrat K Jazeron Say Mohabbat Ki Hadon Tuk
Bus Piyar Hay Han Piyar Hay Bus Piyar Meri Maan

ShArArTi MuNdA
03-25-2009, 07:46 AM
Umer Bhar Seene Se Laga Kar Pala Hai Maa Ne
Ghalat Batoon Pe Thora Thora Mara Hai Maa Ne
Abhi Tak Wo Bachpan Ki Yaadein Hain Baqi
Aur Woh Bachpan Ki Batein Hain Baqi
Ke Jab Mein Ne Bola Tha Maa Pehli Baar
Maa Ki Aankhon Mein Bhara Tha Kitna Pyar
Paida Huwa Tha To Kuch Nahi Tha Mein
Maa Ki Waajhe Se Aaj Hoon Kya Kya Mein
Lalach To Kuch Nahi Meri Maa Ko Magar
Acha Ho Jo Dedo Dil Tohfa Mein Agar
Maa Ko Choorte Hain Aise Kuch Log Hotay Hain
Phir Auroon Ke Liyay Wo Hamesha Soog Hotay Hain
Kuch Logon Ke Liye Maa Ko Choorte Nahi
Chahay Kuch Ho Jaye Moo Moorte Nahi
Maa Se Hamesha Hamein Sukh Milte Hain
Phir Bhi Us Ko Hamse Dukh Milte Hain
Kash Qurbaan Karo Mein Sab Us Ki Sada Peh
Aur Wo Mujhe Pyar Kare Meri Issi Ada Peh
Maa Se Mujhe Koi Juda Na Karey

ShArArTi MuNdA
03-25-2009, 08:12 AM
Maa Ka Pyar Kya Hota Hai

Jab Tu Paida Huwa Kitna Majboor Tha
Yeh Jahan Teri Sonch Se Bhi Dour Tha

Haath Paaon Bhi Tab Tere Apney Na Thay
Teri Ankhon Main Duniya Ke Sapney Na Thay
Tujh Ko Aata Sirf Rona Hi Tha
Doodh Pi Ke Kaam Tera Sona Hi Tha

Tujh Ko Chalna Sikhaya Tha Maa Ne Teri
Tujh Ko Dil Main Basaya Tha Maa Ne Teri

Maa Ke Saaye Main Parwaan Chadne Laga
Waqt Ke Sath Qad Tera Badne Laga

Dhirey Dhirey Tu Kadiyal Jawan Ho Gaya
Tujh Pe Saara Jahan Meharban Ho Gaya

Zor-E- Bazoo Pe Tu Baat Karne Laga
Khud Hi Sajney Laga Khud Sanwarney Laga

Ek Din Ek Ladki Tujhe Bhaa Gayei
Ban Ke Dulhan Woh Tere Ghar Agayei

Ab Faraayez Se Tu Door Hone Laga
Beej Nafrat Ka Khud Hi Tu Bolney Laga

Phir Tu Maa Baap Ko Bhi Bhulane Laga
Teer Baton Ke Phir Tu Chalane Laga

Baat Baat Pe Un Se Tu Ladne Laga
Qayda Ek Naya Tu Phir Padnay Laga

Yaad Kar Tujh Se Maa Ne Kaha Ek Din
Abb Humara Guzara Nahin Tere Bin

Sun Ke Yeh Baat Tu Tayesh Main Agaya
Tera Gussa Teri Aqal Ko Kha Gaya

Josh Main Aake Tu Ne Yeh Maa Se Kaha
Main Tha Khamosh Sab Dekhta Hi Raha

Aaj Kehta Hoon Peecha Mera Chor Do
Jo Hai Rishta Mera Tum Se Woh Tod Do

Jao Ja Ke Kahin Kaam Dhanda Karo
Log Marte Hain Tum Bhi Kahin Ja Maro

Bait Kar Aahen Bharti Thi Maa Raat Bhar
Inki Aahon Ka Tujh Par Howa Na Asar

Ek Din Baap Tera Chala Rooth Kar
Kaise Bikhri Thi Phir Teri Maa Toot Kar

Phir Woh Bhi Bas Kal Ko Bhulati Rahi
Zindagi Isko Har Roz Satati Rahi

Ek Din Maut Ko Bhi Taras Agaya
Iska Rona Bhi Taqdeer Ko Bha Gaya

Ashk Ankhon Main Thay Woh Rawana Huwi
Maut Ki Ek Hichki Bahana Huwi

Ek Sukoon Us Ke Chehre Pe Chaaney Laga
Phir Tu Mayyat Ko Uski Sajaney Laga

Muddatain Ho Gayi Aaj Booddha Hai Tu
Tooti Khatiya Pe Pada Bora Hai Tu

Tere Bacche Bhi Abb Tujh Se Dartey Nahi
Nafraten Hain, Muhabbat Woh Kartey Nahi

Dard Mein Tu Pukare Ke “O Meri Maa”
Tere Dam Se Hi Roshan The Dono Jahan

Waqt Chalta Rahta Hai Waqt Rukta Nahi
Toot Jata Hai Woh Jo Ke Jhukta Nahi

Bann Ke Ibrat Ka Tu Abb Nishaan Reh Gaya
Dhoondh Ab Zor Tera Kahan Reh Gaya

Tu Ahkaam-E-Rabbi Bhulata Raha
Apne Maan-Baap Ko Tu Satata Raha Kaat Le Tu Wohi, Tu Ne Boya Tha Jo
Tujh Ko Kaise Miley Tu Ne Khoya Tha Jo

Yaad Kar Ke Gaya Daur, Tu Rone Laga
Kal Jo Tu Ne Kiya Aaj Phir Hone Laga

Maut Maange Tujhe Maut Aati Nahin
Maa Ki Surat Nigahon Se Jati Nahi

Tu Jo Khanse Tu Aulad Daantey Tujhe
Tu Hai Nasoor Sukh Kaun Baantey Tujhe

Maut Ayegi Tujh Ko Magar Waqt Par
Bann Hi Jaye Gi Qabar Teri Waqt Par

Qadar Maa Baap Ki Gar Koi Jaan Le
Apni Jannat Ko Duniya Main Pehchan Le

Aur Leyta Rahe Woh Badaun Ki Dua
Usi Ke Dono Jahan, Uska Haami Khuda

Yaad Rakhna Her Aulaad Is Baat Ko
Bhool Jana Na Rehmat Ki Barsat Ko

ShArArTi MuNdA
03-25-2009, 08:18 AM
Ma Thandi chahon to Baap ghana dharakht

Maa k pairon talay jannat to Baap k pahlon main jannat

Maa k baghir gher soona to baap k baghir zindagi viraan

Maa muhabbat ka dariya hai to Baap shafqat ka samander

Maa ulaad ki rafeeq hai to Baap ulaad k lie shafeeq

Maa tohfa Khuda Wandi hai to Baap Rehmat Khuda Wandi

Maiiri maa maira fakhar hai or maira Baap maira gharoor

Meri maa mairi manzil hai or maira Baap maira rastaa

ShArArTi MuNdA
03-25-2009, 08:21 AM
~~ Maa ro Pari ~~


Aankho me apne aansuon ko rokti hui..
Maa ro pari maathe ko meray choomti hui




Aab kitney din raho gay, mere paas tum yahan
thakti nahi hai mujh se wo yeh, poochti hui




Rehti hai jaagti who, meri neend key liye
Mai theek to hoo… har waqt yahi sochti hui..




Kehti hai kaise kat-ti hai, pardes main teri
ankhon se behte ashqo ko poochti hui




Aankho me apne aansuon ko rokti hui..
Maa ro pari maathe ko meray choomti hui

ShArArTi MuNdA
03-25-2009, 08:43 AM
Mujh ko ik baar to kehney dey muhabbat hey mujhey
dekhna tujh ko muhabbat se ibadat hey mujhey

terey chehrey mein hee kaabey ki ziarat hey mujhey
terey qadmo'n taley jannat ki basharat hey mujhey

meri dunya mein teri kitni zarort hey mujhey
teri dori hey mujhey hashr qayamat hey mujhey

mein terey lams ki har baat samjh leyti hon
teri khamosh nigahi bhe sama'at hey mujhey

bheer mein dunya ki ik khoi bachi hon
dhond kar roti hon tujh ko ,bari wehshat hey mujhey

choomna hath terey ,lab ki riyazat hey mujhey
mera sar goud mein rakh ley k , thkawat hey mujhey

janey mehshar mein terey naam se kia kuch na miley
ik terey ziker se dunya mein ye ijzat hey mujhey

mere sar pe tera saya nahi hey jannat hey
teri takhleq hon, ye baa'is-e-rehmat hey mujhey

meri kotahiyon ko hans k jheelti kiun hey
mujh ko ik baar to kehney de nadamat hey mujhey

teri hasti se meri saans k sab rabtey baney
tera hona mere honey ki zamanat hey mujhey

bnd mutthi mein utri hey wo khoshbo ban kar
teri ungli ko pakarney ki jo aadat hey mujhey

mera izhar-e-muhabbat hey muhabbat hey mujhey ,
mujh ko ik baar to kehney dey muhabbat hey mujhey

ShArArTi MuNdA
03-25-2009, 08:59 AM
Mujhay raat gay tak bahir rahnay per rokti rahti thi
Main us ki baatain sun kar hansi say uchaal data tha
Kal say jaldi aaon ga kah ker taal data tha
Who mujhay deekh kar muskra dati thi
Aur pyaar say maar bhi dati thi
Main usay bohat satata tha bohat nakhray deekhata tha
Who her baar meray naaz uthati thi
Who meray sadkay wari jati thi
Raat kay kisi pahar bhi ghar jo aata us ko apna muntizar pata
Din raat us kay pyaar ki barsat hoti
Us ki duyain hameesha meray saath hotin
PER AB
Zindagi main who baat nahi hai
Kyu kah who meray saath nahi hai
Us kay pyaar bina dil ki zameen sookhi hai
Ek wohi mukhlis thi sari duniya rokhi hai
Ghar jab loton who nigahain dhoondta hon
Sama jaon jin main who bahain dhoondta hon
Un jaghoon ko deekhta rahta hon jahan beth kay who mera intzaar karti thi
Main ghantoon apna chahra deekhta hon jahan who mujhay pyaar karti thi
Teri dua kay bagair sarkon per nikal jata hon
Her kadam her rastay per thoker khata hon
Maa to meray liay khuda ki soorat hai
Tu lout aa kah mujhay abhi teri zaroorat hai
Main ghar jaldi lout aaon ga Khuda kasam tujhay kabhi na sataon ga
Teri khidmat sobha shaam karon ga jo kahay gi wo her kaam karon ga
Meray kaan phir say muntazir hain ek baar phir wo lori suna day
Ek arsa hua main soya nahi
Tu apni goud main mujhay sula day
Kaash kabhi aisi duaain na martin
Kaash kisi ki maaien na martin.....

Jhuki Palkein
03-25-2009, 04:38 PM
Nice Thread Munda Jee,. And Great Collection!

Keep It Up!

I Will Share Something Soon :)

Ghuncha
03-25-2009, 05:52 PM
Nyce Sharing Ali

ShArArTi MuNdA
03-26-2009, 08:32 AM
Thanks Jhuki Palkein n ghuncha

~*Gillanii
03-26-2009, 02:09 PM
Prince .. Great Thread & Beautifull Sharing,
Tumhari Thread Par Click Karnay Say Pehlay Hi Jaan Jata Hoon Koi Achi Cheez Milay Gi (y) ..
Keep It Up Man, Good Job ;) ..
I'll Share later Inshallah!

ShArArTi MuNdA
03-27-2009, 02:16 AM
Prince .. Great Thread & Beautifull Sharing,
Tumhari Thread Par Click Karnay Say Pehlay Hi Jaan Jata Hoon Koi Achi Cheez Milay Gi (y) ..
Keep It Up Man, Good Job ;) ..
I'll Share later Inshallah!

Soooli jeee pasand kerney ka behad shukriya :flower4u: and i will b waiting for ur sharings bro :)

safa
03-27-2009, 02:19 AM
nice thread.....InshaAllah hum bhi share kareinge......!

ShArArTi MuNdA
03-27-2009, 02:32 AM
nice thread.....InshaAllah hum bhi share kareinge......!

pasand kerney ka shukriya... aapki sharing ka intazar rahey ga :)

safa
03-27-2009, 02:49 AM
http://i145.photobucket.com/albums/r228/creative_sign/Maan002copy.jpg

safa
03-27-2009, 02:50 AM
http://i22.photobucket.com/albums/b307/dosti4all/Mother/Maan-1.jpg

safa
03-27-2009, 02:52 AM
http://i22.photobucket.com/albums/b307/dosti4all/Mother/maan123.gif

safa
03-27-2009, 02:55 AM
http://i37.photobucket.com/albums/e99/cooljiya/maaN.jpg

safa
03-27-2009, 02:56 AM
http://i145.photobucket.com/albums/r228/creative_sign/Maan.gif

ShArArTi MuNdA
03-27-2009, 03:43 AM
very nice sharing Safa jee

keeep sharing

life2
03-27-2009, 11:13 PM
Ek dil ka lagana baki tha ,so dil bhi laga k dekh liya
takdeer ka rona kam na hua ,aansu bhi bha k dekh liya.


Yeh bhi klya manzar hain k badhte hain na hatte hain kadam
Tak raha hoon door se manzil ko main , manzil mujhey

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 03:41 AM
jo maa k lafaz ki mumkin zara tafseer ho jaye
yaqeen jano k jannat har qadam tameer ho jaye

ajab rishta hai maa ka jis k maani ho nahi saktay
na koi tan hai iss jazbay ka jo tasweer ho jaye

thikana maa k qadmoon mein agar mujh ko muyasir ho
yaqeen hai meray qadmoon mein meri taqdeer ho jaye

khudaya hasher k din k liye meri dua sun le
meri fard-e-amal mein lafaz maa tehreer ho jaye

agar maa ki dua maqbool shamil ho ebadat mein
yaqeenan bandagi sahib-e-touqeer ho jaye

ShahTaJ
03-28-2009, 03:50 AM
very nice thread
keep it up

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 03:52 AM
very nice thread
keep it up

Thanks Shahtaj jeee

ShahTaJ
03-28-2009, 03:54 AM
http://i266.photobucket.com/albums/ii243/wasim306/maa1-1.jpg

life
03-28-2009, 04:12 AM
vv nice............

~*Gillanii
03-28-2009, 04:51 AM
Achanak Phir Bachaya Hay Kisi Nadeeda Hasti Nay ..
Magar Kaisay Howa Ye Maujaza Maloom Karna Hay ..
Tujhay Kuch Yaad Hay? Main Kal Tujhay Kab Yaad Aya Tha?
Mujhay Ay "Maa" Tera Waqt-e-Duwa Maloom Karna Hay ..

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 04:53 AM
Very nice Sharing Shahtaj & Sooli jeeeee

keeep visiting and keep posting :)

Appreciated :)

~*Gillanii
03-28-2009, 04:54 AM
~ Jab Main Nannah Bacha Tha Tab Bohat Muskurata Tha ..
Aik Aghosh Tha Jis Main Mujhay Maza Jannat Ka Atta Tha .. ~

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 04:56 AM
wahhhh wahhhhh dushmanooo zabardast :s1:

~*Gillanii
03-28-2009, 04:58 AM
Shukriya DushmanO :0017:

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 04:58 AM
Maa Tu Poch Lay Aansoo Apnay
Ronay Ki Koii Baat Nahi
Jab Tak Teray Sath Hoon Main
Mat Soch Keh Koii Sath Nahi



Aah Zara Sa Pal Day Mujh Ko
Phir Mai Tujh Ko Paa Longa
Aah Zara Sa Pal Day Mujh Ko
Phir Main Tujh Ko Paa Longa


Jo Maangay Gi Wo Laaon Ga
Koii Baat Na Taalon Ga
Jo Teri Jholi Main Na Daalon
Esi Koii Sougaat Nahi


Maa Tu Aansoo Poch Lay Apnay
Ronay Ki Koii Baat Nahi
Jab Tak Teray Saath Hoon Main
Mat Soch Keh Koii Saath Nahi


Din Bhar Mehnat Kar Kay Jab
Main Shaam Ko Wapis Aao Ga
Apnay Pass Betha Kar Tujh Ko
Pyaar Kay Sath Khila'on Ga
Tu Esa Mat Soch Keh Teray Sar Per Koii Haath Nahi
Maa Tu Aansoo Poch Lay Apnay
Ronay Ki Koii Baat Nahi


Jab Tak Teray Saath Hoon Main
Mat Soch Keh Koii Saath Nahi


Kuch Din Ki Tu Baat Hay Maa
Ye Kuch Din Bhi Kat Jaye Gaye
Kuch Din Ki Tu Baat Hay Maa
Ye Kuch Din Bhi Kat Jaye Gaye


Aaj Jo Badal Chaye Hain
Wo Badal Kal Hat Jaye Gaye
Jis Ki Ujli Subha Na Ho
Esi Koii Kaali Raat Nahi


Maa Tu Poch Lay Aansoo Apnay
Ronay Ki Koii Baat Nahi
Jab Tak Teray Sath Hoon Main
Mat Soch Keh Koii Sath Nahi

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 05:02 AM
Dard hua to dil se awaz aye maa
Takleef hue to yaad teri aye maa
Jab Sab na chor deya Mutlabi bewafa kah ke
Phir majhey tere achal ki yaad aye maa
Main kitna badnaseeb hoon
Logo se piyaar maanga maine Mile majhey Tanhai
Tuney Bin maanga Kitna piyaar deya
Aur main teri hi kadar na kar saka maa
BadGumani mein har ek ko maine Seena se lagaya
Bus Badnaseebi to dheko bus tujhey hi apne galey se na laagaya maa
Duniya ki ranginyon mein kohya raha
bus ek tujh hi ko bhool ka sab ke pecha bhagta raha
Teri Tanhaiyon mein ek pal bhi tere saath na raha
Main badnaseeb teri maafi ka kabil bhi na raha
Jab Hosh mein aya To maloom hua ke
kio apna nehi bus tere siwa maa
Teri goad main sar rakh ke ro ro ke mout-e-faryad ki dua ki
Maa na rote rote apni zindagi apni khushiya bhi mere naam ki
Main Kitna beaqal kamzarf hoon
Tera khwab bhi pura na kar saka main tere leya kuch bhi na kar saka maa
Maine kitne dhuk deya
Aur tuney uff tak na ki maa
tuney kabhi na saath chora
Na kabhi kuch kaha majhey tuney maa
bus ek khwab hai zindagi ka
beshak kuch mile na mile
main kuch bano ya na bano
bus ek arman hai zindagi ka
Main ek dafa teri goad main sar rakh so sako maa
woh sakoon-e-neend pana chahta hoon maa
Bohat dard ho raha hai maa
apne hathon se mere zakham-e-dard ko mita do maa

ShahTaJ
03-28-2009, 05:02 AM
very nice sooli n sm
keep it up

(¯`•¸♥Faryal♥¸•´¯)
03-28-2009, 05:03 AM
very nice

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 05:03 AM
meri ammi ko bula de koi
warna mujh ko hi sula de koi

mujhe bistaar ki to adaat hi nahin
apni gudi mein hi jhulaa de koii

shaid Aa jaye woh rona sun kar
bewaja mujhe rola hi de koiii

main ne kai rooz se nahin khaya
us mohabbat se khila hi de koiii

mujhe khwahish nahin k mile dunia
mujhe bas ammi se hi mila de koi

~*Gillanii
03-28-2009, 05:04 AM
Bohat Khoob Dushmano .. Keep Sharing :)

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 05:05 AM
Thanks Shahtaj & Faryal

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 05:05 AM
Bohat Khoob Dushmano .. Keep Sharing :)

Thanks Dushmanooo

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 05:06 AM
Ab mere liye roz dua kon kare ga
Yeh farz ada maan k siwa kon kare ga

Chupke se mujhe chor k chal di yeh na socha
Ab mujhe pey dil-o-jan fidaa kon kare gaa

Dunia mein wafadar koi maan k siwa hain?
Youn maan ki tarah mujh se wafa kon kare

Baboo our mera laal kaha karti thi maan tu mujhe
Qaaim teri mamta ki fiza kon kare gaa

Karne ko mujhe kehti thi maa sabar hamisha
Ab sabar ki talkeen sada kon kare gaa

Har lamha rulati hain teri yaad maa mujhe
ansoon ko mere khushk bata kon kare ga?

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 05:07 AM
Hasool-e-Jannat Ki Rah Guzar Hay
Zameen Pe Jo Us Ka Naqsh-e-Paaq Hay
Tamaam Ankhon Mein Akas Us Ka
Wo Chehra Cherhra Ik Aaina Hay
Wo Azmaton Ka Hasool Bhi Hay
Wo Kaamyaabi Ka Rassta Hay
Samait Laita Hay Baazuon Mein
Wo Qurbaton Ka Skaaon-e-Haal Hay
Wo Shafqaton Ki Nazeer Hay Aesi
Keh Us K Jaisa Koi Kahan Hay
Jo Saaray Rishton Say Yaarwa Hay
Kitaab-e-Hasti Mein Wo Lafz "MAAN" Hay

~*Gillanii
03-28-2009, 05:07 AM
shaid Aa jaye woh rona sun kar
bewaja mujhe rola hi de koiii


Bohat Aaalaaa Yaar ... Daat Daita HooOn Tumhari Pasand Ko :blush-anim-cl:

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 05:09 AM
shaid Aa jaye woh rona sun kar
bewaja mujhe rola hi de koiii


Bohat Aaalaaa Yaar ... Daat Daita HooOn Tumhari Pasand Ko :blush-anim-cl:


Thanks Dushmanoo ..

pasand kerney ka bohat shukriya n keep visiting n keep posting

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 05:10 AM
Zindagi K Safar Main Gardishon Ki Dhuop Main
Jab Koi Saya Nahin Milta To Yad Ati Hai Maan

Piyaar Kehtey Hain Kisey Our Mamta Kya Chiiz Hai
Koi Un Bachon Say Puche Jin Ki Marr Jati Hai Maan

Dair Ho Jati Hai Ghar Ane Main Aksar Jab Humain
Rait Par Machali Ho Jaisey Aisey Tarapti Hai Maan

Martey Dum Jab Bacha Na Aye Agar Pardes Say
To Apni Dono Putliyan Chokhat Pe Rakh Jati Hai Maan

Fikar Main Bachon Ki Kuch Is Tarha Ghul Jati Hai Maan
Nujawaan Hote Huway Bhi Bhuri Nazar Ati Hai Maan

Samney Bachon Ke Khush Rehti Hai Har Haal Main
Rat Ko Chup Chup Ke Ansoo Bahati Hai Maan

Sal Bahr Main Ya Kabhi Hafte Main Jum-e-Rat Ko
Zindagi Bhar Ka Sila Aik ?Faat-e-Haa? Pati Hai Maan

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 05:10 AM
Maawan je na howan zindagi, enj bhanjar lagdi ae
jedha din badin khubda jave, oh khanjar lagdi ae

akhan da mee jinna wi wase, bujhdi kadi wi nai
judoo yaad aondi ban ag mere, seene andar lagdi ae

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 05:12 AM
I JuSt LuV ThIs OnE.... Hope You Guys Will Like It Also......



Rab Kadar Kareem Raheem aisa, koi Raheem ni ALLAH paak warga
Baad Rab doon sari qainaat de andar, dooja koi ni shah-e-ulaad warga

Duniya dari de sariya rishtiyan wich, koi saat ni maa de saath warga
Putter pawain zamane da Gauns howe, neyo maa de paira di khaak warga

Te goad maa di'e darsagaat pehli ithu zindagi da nas-bul-ain band'da eh
Ithu data khaja fareed ban ke dukhi dilan de waste chain band'da eh

Sharm-o-haya de maa je howe paiker fair puter vi qaus-e-saqlain band'da eh
Seyada khatoon-e-jannat je maa howe tahir te laal vi Sakhi Hussain band'da eh

Do jag andar je tu sukh chauna eh te saa amal ker tu kee liya kar
Jis haal de andar maa howe razi us haal de wich tu jee liya kar

je ucha boolna maa te bool beti maa samane laban nu see liya kar
jadhu tenu sakoon di lore howe, pair maa de to ke pee liya kar

kyoon ke Kambli wale sonay mehboob Rab de, izzat maa di ker ke vikha diti
aundi maaye Halima nu vekh ke te Kambli wale ne Kambli wicha diti

Yaaran arz kiti soniya kaun si eh, jinu Kambli te tussan jaga diti
farmaya Nabi ne meri maa haijay jedey seeniyon maula gaza diti

azmat os insaan di bari hondi, jisday sajno razi maa howe
jaira jukda eh maa di wich kadma oho banda zamane te taan howe

te Hazrat Awais wang jo maa di kadar jaaney kaaim sada zamane te naa howe
Rab vi kainda eh Mosa sambhal kea ah, jadhu sir te na Sabira maa howe

Hajj-e-Akbar da mile sawaab usno, naal pyaar naal maa nu takda eh
Oh razi Rab Rasool vi hain us de razi maa nu jera vi rakhda eh

Te razi ho ke maa je hath chuk lewe onhu Rab vi mor na sakhda eh
Tur jaawe Sabira maa jis waile pata lagda zamane di akh da eh

Maa di mamta eh sacha eh pyaar aisa jidhey wich dikhawe de baat koi ni
Oh baad Rab Rasool di zaat nalo'n, oh wadh maa di zaat tu zaat koi ni

jairi langay maa di wich hidmat jae ibadat di raat koi ni
jenu maa ne sabira dukh dita honi hashr che udhi nijaat koi ni

unj hain zamane de wich lakh rishte, rishta koi ni maa di shaan da ni
jera maa de pairan di khaak chumain, kadhey khaak zamane di chaanda ni

~*Gillanii
03-28-2009, 05:13 AM
Zindagi K Safar Main Gardishon Ki Dhuop Main
Jab Koi Saya Nahin Milta To Yad Ati Hai Maan

Wah Yara .. My FaV :thankyou:

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 05:20 AM
Dunu Jahan Main Rehmat-e-parwardeegar Maa
Roz-e-azal Fasl-e-bahar Maa
Sar Na Qadam Khaloos-o-muhabbat Hay Maa
Insaniat Key Moo Pay Musalsal Nekhar Maa


Qudrat Ko Shakar Ye Apna Pasand Hey
Iska Tu Asman Sey Bhi Rutba Booland Hey


Nabyoon Ko Aur Imam Ko Jisnay Janam Deeya
Iska Rang Wajood Hey Khushboo Hay Aur Saba
Peyda Issi Key Lab Sey Jahan Main Hoi Dooaa
Quran Main Khuda Ney Kia Iska Tazkeera


Qudrat Ka Iskey Haq Main Ye Pehla Aasool Hey
Jannat Tu Maa K Qadmoon K Neechay Kii Dhool Hey


Bachoon K Haq Main Saya-e-deewar Kon Hey
Dunia Hey Mahoo Khowab Tu Beydar Kon Hey
Shohar Aggar Hey Phool Tu Mehkar Kon Hey
Aandhii Main Hum K Par Sar-e-peykar Kon Hey


Maryam Hey Hajra Hey Tu Kheyrunnisa Hey Maa
Is Saare Kaainat K Sar Per Reeda Hey Maa


Khud Jaag Ker Soolatee Hey Bachoon Ko Raat Main
Beyta Aggar Geerey Tu Geerti Hey Maa Iskey Sath Main
Doulat Dooaa Ki Rakhti Hey Ye Apnay Haath Main
Beyta Kahey Tu Jaan Bhi Day Dey Zakat Main


Haq Iski Chahatoon Ka Ada Kissey Hoosaka
Bhaaree Hey Kainat Sey Aik Qatraa Dudh Ka


Yaad Aarahee Hey Is Gharee Aik Aeysee Maa Kii
Jo Mutmaeen Thi Bahi Pey Bachoon Ko Waar K
Zainab Tha Naam Jiska Chalan Sayeda K Thay
Bheyja Salam Haq Nay Sar-e-karbala Jeesay

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 05:21 AM
Ghazaal-e-chashm se nikl ker
ghazala k rukh-e-lala per
behne wale
ghum k aansoon k motioon ko
chun chun ker
sukh ki le'dion main parone walee
pur-waqar haathon ki
ghum-gusar unglion k
pur-isar lams ko
shaid
"MaaN" kehtay hain

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 05:22 AM
Ya kamiyabiyan ya izatain ya naam tum say ha
KHUDA nay jo diya ha makam tum say ha
Tumharay dam say ha meray lahoo main khiltay gulab
Meray wajood ka sara nizam tum say ha
Kahan bisat-a-jan aur main kam sin-o-nadaan
Ya meri jeet ka sub ahtamaam tum say ha
Jahan jahan ah meri Dushmani sabab main hoon
Jahan jahan ah mera ahtamaam tum say ha

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 05:22 AM
Ho gaey jawan bache' bodhi ho rehi hai Maan
Be-khawab aankhon main charagh-e-lo wehi hai Maan

Rotii apne hise ki de ker apne bachon ko
Sabr ki rida odhe bokhi soo rehi hai Maan

Saans ki mareza hai phir bi thande pani se
Itni sakht serdi main kapray dho rehi hai Maan

Ghair ki shaikaet per' kabi kisi sharart per
Muj ko mar ker Arif' kudh bi ro rehi hai Maan

Rokti thi muj ko khailne se jis matii main
Aj ussi matti ko odhee soo rehi hai Maan

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 05:23 AM
Maan!Tu mujhay apni jaan say pyari hay
Haan tu mujhay apni aan say pyari hay

Pyar muhabbattu nay dya jitna
Us pyar ka sila donga may kitna
maan!taray sabab yeh qismat sudhary hay
Haan tu mujhay apni shaan say pyari hay

Gilla tu nay kiya nahee bachpan may
hosla tu nay hi dya ladhakpan may
is hosla afzai nay taqdeer meri nikhari hay
Haan!tu mujhay apni Jan say pyari hay


Masaib-o-takaleef bardasht ki tu nay
Meri saheeh nigahdasht ki tu nay
Maan!meri zindagi tu nay hi sanwari hay
Haan tu mujhay apni aan say pyari hay

Alam maray pa dil dukhta hay tera
meri khoshi say dil sukhta hay tera
Maan!maray masail ka samnay tu ik pahadhi ahy
Haan!tu mujhay apni shaan say pyari hay


Wafa-o-pyar ka paiker hay tu maray liay
Khoshi aur sukh ka paikar hay tu maray liay
Maan!taray pair talay nahr-e-jannat jari hay
Haan tu mujhay apni jaan say pyari hay.

~*Gillanii
03-28-2009, 05:23 AM
Te Goud Ma Di Dars Gah Pehli, Aitho'n Zindagi Da Nasb'ul'Ain Ban'da Ay ..
Aithu Data Khawaja Fareed Ban Kay Dukhi Dilaa'n Day Wastay Chain Ban'da Ay ..

Great Sharing Yara ... Kyaa Baat Hay, Cha Gaye Tussi SarkarO .. :thumb:
Chuk Kay RakhO :)

~*Gillanii
03-28-2009, 06:17 AM
~ Phool Ko Khushbo, Zameen Ko Ghataye'n Daita Hay ..
Mujhay Falak Say Wo Ab Tak Sadaye'n Daita Hay ..
Koi To Roye Lipat Kar Jawan Lasho'n Say ..
Isi Liye To Khuda BaitO'n Ko Maye'n Daita Hay ~

~*Gillanii
03-28-2009, 06:18 AM
Khuda Nay Tab Kahi'n Ik "Maa" Banai ..


Dar-e-Khursheed Say Pehli Kiran Li ..
Aur Us Main Chand Ki Thandak Bhi Rakhdi ..
Phir Us Nay Hoslay, Himmat Bhi Day Kar ..
Khuloos'O'Rahmat'O'Rahat Bhi Day Kar ..
Ibadat, Barkat'O'Azmat Bhi Day Kar ..
Muhabbat, Dard Aur Khidmat Bhi Day Kar ..
Koi JharnO'n Kay Behtay PaniyO'n Say ..
Kai JazbO'n Say AUr QurbaniO'n Say ..
Gharaz Har Rang Say Amaiz Kar Kay ..
Har Ik Dolat Say You Labraiz Kar Kay ..
Bana Kar Jab Sarapa Ye Sajaya ..
Aur Ik Alam Ko Jub Us Nay Dikhaya ..
Sub Hi Nay Maan Li Us Ki Khudai ..
Khuda Ko Apni Ye Takhleeq Bhai ..
Karam Ki Dil Main Phir Chadar Bichai ..
Aur Us Main Har Taraf Mamta Sajai ..
Phir Un QadmO Main Ik Jannat Basai ..
Khuda Nay Tab Kahi'n Ik "Maa" Banai ..

~*Gillanii
03-28-2009, 06:19 AM
~ Jinnay Vi Rishtay Is Dunya Vich, Sab Choothay Tay Behroop ..
Maa Da Rishta Sab To Ucha, Ma Hay Rubb Da Roop ~

~*Gillanii
03-28-2009, 06:20 AM
*Maa Ki Takhleeq*


Khuda Nay DonO Alam Jab Banaye ..

Anokhay Har Taraf Jalway Dikhaye ..
Zameen'O'Asmaan Is Main Basaye ..
Falak Par Kehkasha'n Taray Sajaye ..
Chaman Main Nit Naye Sabzay Ugaye ..

Khuda Nay DonO Alam Jab Banaye ..

Bana Kar Us Nay Phir Ru-e-Zameen Par ..
Janab-e-Hazrat-e-Insaan Ko Bhaija ..
Khuda Ka Jis Main Sab Nay Aks Daikha ..
Jaha'n Main KhushbowO'n Ko Phir Bikhera ..
Andhera Aur Kahi Roshn Sawera ..
Gharaz Har Shay Ko Jab Us Nay Bana Kar ..
Humaray Wastay Dunya Saja Kar ..
Khud Apni Ghaur Say Takhleeq Daikhi ..
Phir Us Nay Ik Nayi Tasveer Kheenchi ..
Wo Aisi Soch Wala Shaan Wala ..
Jahan Main Sab Say Oonchi Aan Wala ..
Na Mit Payi Jab Us Ki Tishnagi Phir ..
Kahi Mehsoos Karli Ik Kami Phir ..
To Us Nay Chadar-e-Rehmat Ko Bun Kar ..
HazarO'n ChahatO'n Kay Phool Chun Kar ..
Gulo'n Say Shabnam-e-Pakeeza Lay Kar ..
Dhanak Kay Khoobsoorat Rang Day Kar ..
Muhabbat Kay Sumandar Ko Samaita ..
DuwaO'n Ka Khazana Is Main Bhar Kar ..
Taqaddus Say Haseen Chehra banaya ..
Kay Jis Kay Har Taraf Ik Noor Chaya ..
Kay Jis Ki AnkhO Main AnsOo Bharay Thay ..
Kay Jis Ki PalkO'n Pay Sapny Sajay Thay ..
Umeed-e-SubhO-e-Roshan Ki Chamak Thi ..
SitarO'n Aur CharaghO'n Ki Damak Thi ..
Kay Jis Kay Honto Pay Larza Kahi Par ..
Yakeenan Us Samay Koi Sada Thi ..
Bohat Masoom Si Koi Duwa Thi ..

Khuda Nay Lamhay Bhar Ko Phir Say Socha ..

Aur Apni Is Anokhi Shay Ko Daikha ..
Bohat Hi Naik Pal Aur Sa'atO'n Say ..
Zameen'O'Asmaa'n Ki WusatO'n Say ..
Naye JazbO'n Anokhi ChahatO'n Say ..
HazarO'n NaimatO'n Aur RahmatO'n Say ..
Nai Takhleeq Kay Seenay Main Us Nay ..
UmangO'n Say Bhara Ik Dil Banaya ..
FarishtO Nay Bayak Awaz Mil Kar ..
Muhabbat Ka Anokha Geet Gaya ..
Khuda Bhi Dosto Phir Muskuraya ..

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 06:23 AM
~ Jinnay Vi Rishtay Is Dunya Vich, Sab Choothay Tay Behroop ..
Maa Da Rishta Sab To Ucha, Ma Hay Rubb Da Roop ~

Zabardast Dushmanooo

chaahhh gaye ho tusi kasmeyyyyy :current:

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 06:23 AM
zabardast sharing janab soooli jeee

keeep sharing n keeep visiting

safa
03-28-2009, 07:55 PM
http://i22.photobucket.com/albums/b307/dosti4all/Mother/Maan3.jpg

safa
03-28-2009, 07:55 PM
http://i37.photobucket.com/albums/e99/cooljiya/1087-maa.gif

safa
03-28-2009, 08:04 PM
http://i145.photobucket.com/albums/r228/creative_sign/Maan004copy.jpg

safa
03-28-2009, 08:04 PM
http://i246.photobucket.com/albums/gg107/noor_ka_noor/maan.jpg

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 08:10 PM
very nice sharings safa jeee

Thanks n keeep visiting n keeep sharing :)

Nida-H
03-28-2009, 08:12 PM
very nice thread & beautiful poetry...thnx 4 sharing !!!

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 08:17 PM
Thanks

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 08:24 PM
http://img140.imageshack.us/img140/916/maav.png

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 08:39 PM
Hey guys if u can't read this one then click on image n maximize it.. sorry 4 da trouble. :p

http://img217.imageshack.us/img217/1804/ghanashajary.gif

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 08:46 PM
http://img6.imageshack.us/img6/3299/maadeeshaan.jpg

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 08:51 PM
http://img217.imageshack.us/img217/7017/maat.jpg

SHAYAN
03-28-2009, 08:57 PM
Suprb Munda..:weight-lifter:

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 08:58 PM
Thanks Shayan jee :p

SHAYAN
03-28-2009, 09:13 PM
last 2 Images Gr8..:smokin2:

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 09:14 PM
http://img222.imageshack.us/img222/9329/bacha.jpg

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 09:20 PM
Umer Bhar Seene Se Laga Kar Pala Hai Maa Ne
Ghalat Batoon Pe Thora Thora Mara Hai Maa Ne


Abhi Tak Wo Bachpane Ki Yadein Hain Baqi
Aur Wo Bachpane Ki Batein Hain Baqi


Ke Jab Mein Ne Bola Tha Maa Pehli Baar
Maa Ki Aankhon Mein Bhara Tha Kitna Pyar


Paida Huwa Tha To Kuch Nahi Tha Mein
Maa Ki Wajha Se Aaj Hoon Kya Kya Mein


Lalach To Kuch Nahi Meri Maa Ko Magar
Acha Ho Jo Dedoon Dil Tohfay Mein Agar



Maa Ko Choorte Hain Aise Kuch Log Hotay Hain
Phir Auroon Ke Liyay Wo Hamesha Sog Hotay Hain



Kuch Logoon Ke Liyay Maa Ko Choorte Nahi
Chahay Kuch Ho Jaye Moo Mortay Nahi


Maa Se Hamesha Hamein Sukh Milte Hain
Phir Bhi Us Ko Hamse Dukh Milte Hain



Kash Qurbaan Karoon Mein Sab Us Ki Sada Pe
Aur Wo Mujhe Pyar Karay Meri Issi Ada Pe



Maa Se Mujhe Meri Koi Juda Na Karay
Karoon Pyar Kissi Aur Se Khuda Na Karay

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 09:20 PM
Maa....
Apnay qadmoon main day day jaga
Apna Saya Bana lay mujay
Apni narmi sekha day mujay
Dair jab bi hoi ghar main atay mujay
Main nay dekha kay Maa mere soi nahi
Maray khoon ka har ek qatra yeh kahnay laga...........
Mere Maa tum say barh kar koi nhi
Maa! pyari Maa
jab koi parashani mujh ko hoi
Teray anchal talay aa kar roye hun main
Tere batoon ki dori ko thamay huway
Tere anchal talay aakay soi hun main
Aaj pir woh LOORI suna day mujay
Maa !! pyari Maa
Apnay qadmoon main day day jaga...........

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 09:21 PM
Maa kay rutbay ki shaan mein bhala koi kasida kya kahein
paironn kay neeche rahti Jannat hai, isse zyada kya kahein



armaanon ko dafna kar, har ghum per muskurati hai
Qurbani ki Devi hai,isse zayada kya kahein




Qalb mein chahat aur zahen mein fiqr aulad ki
ragoon mein mohabbat daurti hai, isse zyada kya kahein




aulad kay har sitam per sirf ashq wo bahati hai
Duaayein phir bhi deti hai, isse zyada kya kahein



puchtay hain log aksar kaamyabi ka sabab
maa ki duaaon ka asar hai, isse zyada kya kahein


khuda ke naam se pehle , bachhe ke laboon se
nikalta lafz maa hai, isse zyada kya kahein





khidmat jam ke karo iski, ye wo daulat hai Nadeem
jo khusnassebo ko milti hai, isse zyada kya kahien

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 09:23 PM
"M" is for the million things she gave me,
"O" means only that she's growing old,
"T" is for the tears she shed to save me,
"H" is for her heart of purest gold;
"E" is for her eyes, with love-light shining,
"R" means right, and right she'll always be,

Put them all together, they spell
"MOTHER,"
A word that means the world to me.

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 09:43 PM
tune itne pyaar se mere mathe to sehlaaya hai,
lagta hai bass sukoon ka abb mere sarr pe saaya hai.

barsoN baad *dil-e-shorida mein sannaTa chaaya hai,
jaise ujDi basti mein koi phirse rehne aaya hai.

tere chehre ki jhuriyoN ko dekh ke aankein bhar aayee,
sochta hoon ke *zist ne kaisa tera saath nibhaaya hai.

*nam-roshan yeh teri aankhein khush hai mujko choone se,
phir seene se lagaake tune kyoN yeh ashQ bahaaya hai.

maata mera choom ke tune ruuh ko meri dho dalaa,
teri dua ne abb tak mari zidagi ka deep jalayaa hai.

tere baloN mein hai safedi mere chehre par laali,
tune jisko khoon se seenCha woh paudha lehraaya hai.

dekh meri maa tera beTa aaj kamaata hai lakhoN,
lekin tune jo hai gawaaya kab meine woh kamaaya hai.

kya aukat kisiki ke mamta ka mol lagaa paaye ?
jab khuda ne jannat ko tere pairoN ke neeche dabayaa hai.

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 09:44 PM
Inaayat Haen Woh RAB Ki Bohat Pyaree
Humari Ammi Ji Sab Say He Pyaaree

Bitayee Unhon Nay Humaray Liay Zindagee Saari
Sikhaayee Unhon Nay He Humaen Bandage Saari

Batlaye Unhon Nay He Humaen Raaz-e-Zindagi
Sikhayee Her Dost o Dushman Say Rawa Daari

Bharree Hai Unhon Nay He Yeh Sab Inkasaari
Warna Hotay Hum Bhi Bas Sharam Say Aarii

Naa Nibhatay Hum Bhi Kabhi Koi Dosti Yaari
Bhool Jaatay Sab Ki Tarah Hum Bhi Rishtaydari

RAB Say Karta Hai Mohsin Bas Yehi Giryah zaari
Salaamat Rahaen Hum Pay Bas Ammi Ji Humari

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 09:47 PM
meri ankhon ka nooor meri maa hay...
mery dil ka suroor meri maa hay..
mery dil ki dharkane meri maa se wabasta hay..
mery dil ki thandak meri maa hay..
mery kalab-o-rooh ka sukoon meri maa hay..
meri her khushi meri maa hay..
meri maa dunya ki sab se pyari maa hay..
meri maa mohabbat kerne wali maa hay..
meri her kamiyabi meri maa k dam kadam se hay..
mera ye mokaam meri maa ki badolat hay..
mera ye naam meri maa k marhon-e-manat hay......

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 09:50 PM
Maa kainde kiss hasti nu ne
ai odhe kolo tu pooch ke aa

jidhe hisse na odha pyar aaya
na hisse aai koi odhi dua

ai aisa rishta banaya rab ne
jidi koi na kar sake rees koi

pawen lakh dunya wich loki milde
aide warghi na kroran wich cheez koi

rabba tu mawaa kol apne
aini cheethi na bulaya kar

jidha din badin wadhda jawe
oh rog na sanu laya kar

ona naal hi sade honta te
khushian de lage mele ne

wichodhe ona de kardende sare
pheeke khushian de wele ne

ShahTaJ
03-28-2009, 10:06 PM
:super:
keep it up

ShahTaJ
03-28-2009, 10:36 PM
http://www.hallagulla.com/urdu/photo/data/1530/Farishta.jpg

ShArArTi MuNdA
03-28-2009, 10:40 PM
Thanks Shahtaj jeee &

nice Sharing

Keep visiting :rollbaby:

Jhuki Palkein
03-29-2009, 12:47 AM
Brilliant Sharings,.

Jhuki Palkein
03-30-2009, 05:34 PM
Dasta'n Mere Laad Pyar Ki Bas,.
Aik Hasti Ke Gird Ghoomti Hai,.

Pyar Jannat Se Is Liye Hai Mujhe,.
Ye Meri Maa Ke Qadam Choomti Hai,.

life2
03-30-2009, 11:24 PM
Laut aaye na kisi roaz woh awara mizaj
khole rakhtay hein isi aas pe dar shaam ke baad"

ShArArTi MuNdA
03-31-2009, 03:28 AM
Thanks jhuki n life2 n nyc sharin jhuki

~*Gillanii
03-31-2009, 04:55 AM
http://img6.imageshack.us/img6/3299/maadeeshaan.jpg

Awesome Yaar .. Ye Kalam To Bachpan Say Bohat Sunta Araha Hoon Zabardast

~*Gillanii
03-31-2009, 04:56 AM
Brilliant Sharings, Shahtaj, Jp, Safa & Munda Thankyou So Much :flowers:

~*Gillanii
03-31-2009, 04:58 AM
Un Sab Kay Liye, Jin Kay Sar Say Chao'n Uth Chuki Hay ..

~ Jo Uth Na Sakta THa Baysahare ..
Wo Roz-e-Mehshar Utha Kay Utha ..
Sitam Zareefi Zara To Daikho ..
Hansanay Wala Rula Kay Utha ~

ShArArTi MuNdA
03-31-2009, 05:13 AM
nice one soooli bro

ShArArTi MuNdA
03-31-2009, 06:14 AM
Saya-e-Qudrat Bhi
Saath Hy

MAA K Baghair Aisa
Lagey Din Bhi
Raat Hy

Main Duur Jao'n
Us Ka Mere Sar
Pe Haath Hy

Mere Liye Tou
Meri MAA Hi
Kainaat Hy

Daman Main MAA
k Sirf Wafao'n K
Phool Hyn

Hum Sary Apni
MAA k Qadmo'n
Ki Dhuul Hyn

Aulad k Sitam
Usay Hans k
Qubool Hyn

Bacho'n Ko Baksh
Dena Hi MAA k
Usool Hyn

Din Raat Paal-Pos
K bara Kia

Girne Lagey Tou
MAA Ne Hi Phir
Khara Kia ...

ShArArTi MuNdA
03-31-2009, 06:23 AM
Neend Apni De Bhula Ker "SULAYA" Hum Ko

Aansu Apne Gira Ker "HANSAYA" Hum Ko

Dard Kabhi Na Dena Us "HASTI" Ko

Zamana Kehta Hai "MAA" Jis Ko ...

ShArArTi MuNdA
03-31-2009, 06:24 AM
Birha Ki Dhoop Me Jalta Hua Paoon Ka Chahla
Bukhar Ki Hiddat Se Tapta Hua Maatha
Daraowney Khawab Se Khuli Hui Wehshat Zada Aankh
Dard Ki Shiddat Se Be-Sakhta Nikli Hui Karrah

Tujhe Yaad Karte Hain Maa


Har Khawahish Par Machalta Hua Dil
Thokar Khata Hua Mera Jeevan Zeena
Bebasi Se Umandta Hua Har Ek Aansoo
Zamane Ke Waar Se Chalni Hota Hua Seena
Tujhe Yaad Karte Hain Maa


Mere Andar Ki Veerani
Mera Bhikarta Hua Sarapa
Mere Jazbon Ki Tashnagi
Mere Maazi Ka Pashtawa

Tujhe Yaad Karte Hain Maa


Guzre Waqt Ka Faisla
Zamane Se Mukhalfat Ka Hosla
Meri Zindagi Ka Khush Hota Hua Lamha
Meri Zaat Me Simta Hua Lehza

Tujhe Yaad Karte Hain Maa

ShArArTi MuNdA
03-31-2009, 06:24 AM
jab umar tumhe tumhari
uss mod par le jaegi
tab dekhna tumhe yaad
maa ki har baat wo aayegi

wo baat baat bar poochna
ke kahin tum bhooke to nahin
baat dil mein hei, mujhse kaho
kahin mujhse roothe to nahin

koi aisa gham koi aisa dukh
bhala mujhe to tum batao beta
iss chand se chehre se tum
aansoon ko to hatao beta

jab tum pareshaan se hote ho
meri raton ki neend udh jaati hei
aankhon se mere, aansoon ki ladi
dua ban ke rab ke paas jaati hei

jab mein na hoon pareshaan mat hona
meri baton ko yaad kar ke mat rona
iss dunya mein kahan koi raha hei sada
in aankhon ko beta tum mat bhigona

mayoosion ke jab chaye badal hon
apne dil par haath rakh lena tum
band kar ke apni aankhon ko phir
ho jana meri un yadon mein ghum

mein janti hoon tumhari yadon mein
mein kabhi bhi marr nahi paongi
jitna bhi tum bhoolna chaho mujhe
mein utna hi tumhe yaad aaongi

ShArArTi MuNdA
03-31-2009, 06:25 AM
http://img219.imageshack.us/img219/5705/26aikmudatsay2.jpg

~*Gillanii
04-01-2009, 04:42 AM
Good Work Dushmano, Last one is Superb!!
Keep it up Dear :)

ShArArTi MuNdA
04-01-2009, 04:57 AM
Good Work Dushmano, Last one is Superb!!
Keep it up Dear :)


Thanks Dushmanoooo n keep visiting

ShArArTi MuNdA
04-01-2009, 04:58 AM
guys don't know k yeh pehley share ker chuka houn ya nahi but ager ho chuki ho tu plz don't mind n jst ignore it


meri ankhon ka nooor meri maa hay...
mery dil ka suroor meri maa hay..
mery dil ki dharkane meri maa se wabasta hay..
mery dil ki thandak meri maa hay..
mery kalab-o-rooh ka sukoon meri maa hay..
meri her khushi meri maa hay..
meri maa dunya ki sab se pyari maa hay..
meri maa mohabbat kerne wali maa hay..
meri her kamiyabi meri maa k dam kadam se hay..
mera ye mokaam meri maa ki badolat hay..
mera ye naam meri maa k marhon-e-manat hay......

ShArArTi MuNdA
04-01-2009, 04:59 AM
Maa! Mujhe Neend Nahi ate hai
Aik Mudat se Mujhe Neend nahi ate hai
Maa! Mujhe LoorY SuNaoOo nA
SuLa DoNa Mujhe

Maa! Mujhe Neend Nahi ate hai

Rat jagey ab tu Muqadar hain Meri pulkon ka
Neend aye tu liye ate hai bagdad ki Yaad
Ankh lagte he koi bewa utha dete hai
Pait kitna he bharon bhook nahi Mitti hai

jalte Basra ki Mujhe Piyass jaga dete hai
koi qandhar ki waddi se bulta hai Mujhe
zikar qandoz ka aye tu mujhe lagta hai
kat ker sar koi hansta hia,jalata hia mujhe
bomb ki awazain mujhe kuch nahi kehti hain maagar
zakham in bacho ke sone nahi dete hian mujhe
Maa Meri ankhian tu pather ki hue jate hian
nojawaan lashey yeh rone nahi dete hian mujhe
Mere seene per rakho hath

RuLa DoNa Mujhe....!
Maa!Mujhe LorrY SuNaoOo Na
SuLa DoNa Mujhe....!
Maa! Mujhe Neend Nahi ate hai
Aik Mudat se Mujhe Neend nahi ate hai....!

~*Gillanii
04-01-2009, 04:59 AM
Its Okay Yara ... Once again Brilliant Sharing .. :flowers:

dur-e-shahwar
04-01-2009, 05:00 AM
v nyc sm

ShArArTi MuNdA
04-01-2009, 05:01 AM
Anokha laadla
khelan ko maange chaaand re
Anokha laadla
kaisi anokhi baat re
anokha laadla

tan ke ghao to bhar gaye daata
man ka ghao nahi bhar paata
tan ke ghao to bhar gaye daata
man ka ghao nahi bhar paata
jee ka haal samajh nahi aata
jee ka haal samajh nahi aata
kaisi anokhi baat re

anokha laadla
khelan ko maange chand re
anokha laadla

pyaas bujhey kab ik darshan se
tan sulgey bas aik agan mein
pyaas bujhey kab ik darshan se
tan sulgey bas aik agan mein
man boley rakh lon main man mein
man boley rakh lon main man mein
kaisi anokhi baat re

anokha laadla
khelan ko maange chand re
anokha laadla

jis pe na beeti woh kab janey
jag waley aaye samjhaney
jis pe na beeti woh kab janey
jag waley aaye samjhaney
pagal man koi baat na maney
pagal man koi baat na maney
kaisi anokhi baat re

anokha laadla
khelan ko maange chand re
anokha laadla

ShArArTi MuNdA
04-01-2009, 05:02 AM
Thanks Sooli jee n Radika Jee

dur-e-shahwar
04-01-2009, 05:02 AM
muje poetry tu nhi ai but
i jst wanna say few words 2 my mama
i luv u mama nd i cant live widout u

ShArArTi MuNdA
04-01-2009, 05:05 AM
muje poetry tu nhi ai but
i jst wanna say few words 2 my mama
i luv u mama nd i cant live widout u

awwwww radika jeeee so cute n sweeet of you .. May ur mama live long n long n long (AMEEN)

ShArArTi MuNdA
04-01-2009, 05:06 AM
Maa kay rutbay ki shaan mein bhala koi kasida kya kahein
paironn kay neeche rahti Jannat hai, isse zyada kya kahein



armaanon ko dafna kar, har ghum per muskurati hai
Qurbani ki Devi hai,isse zayada kya kahein




Qalb mein chahat aur zahen mein fiqr aulad ki
ragoon mein mohabbat daurti hai, isse zyada kya kahein




aulad kay har sitam per sirf ashq wo bahati hai
Duaayein phir bhi deti hai, isse zyada kya kahein



puchtay hain log aksar kaamyabi ka sabab
maa ki duaaon ka asar hai, isse zyada kya kahein


khuda ke naam se pehle , bachhe ke laboon se
nikalta lafz maa hai, isse zyada kya kahein





khidmat jam ke karo iski, ye wo daulat hai Ali
jo khusnassebo ko milti hai, isse zyada kya kahien

ShArArTi MuNdA
04-01-2009, 05:06 AM
dhoop ko saaya zamee.n ko aasmaa.n karti hai maa
haath rakh k merey sar pe saibaa.n karti hai maa
meri khwahish aur meri zid us k qadmoo pe nisaar
haan ki gunjaish na ho tu phir bhi haan karti hai maa

dur-e-shahwar
04-01-2009, 05:08 AM
v nyc
thankz 4r sharing

dur-e-shahwar
04-01-2009, 05:09 AM
awwwww radika jeeee so cute n sweeet of you .. May ur mama live long n long n long (AMEEN)

thank u soooooooo much
AMEEN

ShArArTi MuNdA
04-01-2009, 05:14 AM
Her Maaa'n Key Naam


Eelahi, Hasher me....

Teri Janat nahi chahiey muj ko...

Meri Maa meri Janat hi...

Ye Janat chahiey mujh ko...


Meri Maa mujey maaf kerna...

Ghaltioo ko Bakhsh dena...

Meri Duniya bana dena...

Meri Qismat sajaa dena...

Chaloo jab Amen-e-Jahaan se...

Dhaanp key chehray ko main apney....

Mujy Chehra chupaney ko, Apney Aanchal ka Kaffan dena….

ShArArTi MuNdA
04-01-2009, 05:15 AM
Dunu Jahan Main Rehmat-e-parwardeegar Maa
Roz-e-azal Fasl-e-bahar Maa
Sar Na Qadam Khaloos-o-muhabbat Hay Maa
Insaniat Key Moo Pay Musalsal Nekhar Maa


Qudrat Ko Shakar Ye Apna Pasand Hey
Iska Tu Asman Sey Bhi Rutba Booland Hey


Nabyoon Ko Aur Imam Ko Jisnay Janam Deeya
Iska Rang Wajood Hey Khushboo Hay Aur Saba
Peyda Issi Key Lab Sey Jahan Main Hoi Dooaa
Quran Main Khuda Ney Kia Iska Tazkeera


Qudrat Ka Iskey Haq Main Ye Pehla Aasool Hey
Jannat Tu Maa K Qadmoon K Neechay Kii Dhool Hey


Bachoon K Haq Main Saya-e-deewar Kon Hey
Dunia Hey Mahoo Khowab Tu Beydar Kon Hey
Shohar Aggar Hey Phool Tu Mehkar Kon Hey
Aandhii Main Hum K Par Sar-e-peykar Kon Hey


Maryam Hey Hajra Hey Tu Kheyrunnisa Hey Maa
Is Saare Kaainat K Sar Per Reeda Hey Maa


Khud Jaag Ker Soolatee Hey Bachoon Ko Raat Main
Beyta Aggar Geerey Tu Geerti Hey Maa Iskey Sath Main
Doulat Dooaa Ki Rakhti Hey Ye Apnay Haath Main
Beyta Kahey Tu Jaan Bhi Day Dey Zakat Main


Haq Iski Chahatoon Ka Ada Kissey Hoosaka
Bhaaree Hey Kainat Sey Aik Qatraa Dudh Ka


Yaad Aarahee Hey Is Gharee Aik Aeysee Maa Kii
Jo Mutmaeen Thi Bahi Pey Bachoon Ko Waar K
Zainab Tha Naam Jiska Chalan Sayeda K Thay
Bheyja Salam Haq Nay Sar-e-karbala Jeesay

dur-e-shahwar
04-01-2009, 05:15 AM
Bhot nyc hia
is it your own poetry

ShArArTi MuNdA
04-01-2009, 05:19 AM
Tere azmatoon ko salam karta chaloon ah maa
Tere jazboon ke kadar karta chaloon ah maa

Tu ehsaar aur qurbani ka doosara nam ha ah maa
Zindage tere qadmoo main nisar karta chaloon ah maa

Tujh se shaid bohat door chala jaoon ga ah maa
Akhari bar tere dar pe sajda karta chaloon ah maa

Shaid apne wadoon ke bharm na rakh sakoon ah maa
Shaheed ho ka main tere sar unoocha karte chaloon ah maa

Khaitaoon ko mere maaf kar sake tu kar daina ah maa
Soocha zindagee tere duyaoon ke sahare basr karta chaloon ah maa

Har baam har dam ye hasrat he rahe mere ah maa
Apne khoon se is mitti pet era naam likhta chaloon ah maa

Khush rahe jahan rahe ab yahee dua ha mere ah maa
Tereqadam jahan paren us mitti pe janat banata chaloon ah maa

Ab ke bar ye khawaish he rah eke tere khidmat karoon ah maa
Zindagee phir mile tu phir tere abadat karta chaloon ah maa

ShahTaJ
04-01-2009, 05:33 AM
very nice sm
keep it up

ShahTaJ
04-01-2009, 05:38 AM
http://www.urdupages.com/attachment.php?attachmentid=45604&stc=1&d=1108997506

dur-e-shahwar
04-01-2009, 06:01 PM
v nyc sis

life
04-01-2009, 07:17 PM
v v nice..............

ShArArTi MuNdA
04-03-2009, 03:26 AM
Thanks all
&
Nice sharing shahtaj jee

dur-e-shahwar
04-03-2009, 03:41 AM
is jeevan ko bhol jati hon

jb teri gaud mein sar rakhti hon

tery pyar k aanchal mein chhupti hon

jb bhi duniya se darti hon

maa teri ik muskan se

har pal mein jeeti hon












Teri Ankhoo Ki Ju Roshni Hai
Yeh Meri Jan Meri Zindagi hai
Tery Hatoon Ka Lums Arzoo Hai meri
Meri Sansoo Ma Har Pal Hai Khushboo Teri
Tum dUA hU meri,Aur Sada Hu
Tum Na KHabhi Mujh Sy Juda Hu
Hai GuLABOON Ki Si MuskUrahat Teri
Yeh Shararat,Mohabbat Aur Chahat Teri
hAI Abad inn Sy Mery Dil kA Jahan
Hai Rangeen Tujh Sy hAR eK Sama
Duniya Haseen Chahy Kitni Bhi Hai
Dua Bas KHUDA Sy Itni hi Hai
Teri Ankhein Sada Muskurati Rahein
Anderoon Main Bhi Jagmagati Rahein
KEH TERI ANKHOON KI JU ROOSHNI HAI
YEH MERI JAN MERI ZINDAGI HAI
ILOVE YOU MOM

ShArArTi MuNdA
04-03-2009, 04:16 AM
Thanks for sharing radika jeeee

nice one

keep it up

ShArArTi MuNdA
04-03-2009, 04:17 AM
maaye meriye, ek baar pher es dharti te aaja,
abde putt nimane nu maa abda daras dikhaja,

aundi ae neend maaye, mai teri god wich sir rakh sona ae,
dukh bade putt tere nu, teri bukkal wich aj rona ae,

k aaja maaye es paraye mulk wich mai kalla haan,
e hai duniyaan shatiraan di te mai tera putt jhalla haan,

aaja maa k mainu teri bachapan di lori yaad aunsdi ae,
ae akh nimani udeeke tenu e na jagdi ae na sondi ae,

aaja maa k ek vaar tere hatho roti di burki kha lavaan,
aaja maa k rabb naal teri ek tasvir basaa lavaan,

maa mai nai jina hun ki e duniya harzaai ae,
e pyar wafa sab jhoothe ne, bas maut lagge sachaai ae,

maaye meriye ja te aake "****" nimane nu koi raah dikhade,
ja te lako ke apni bukkal wich is duniya to mainu v kite door chupade........

dur-e-shahwar
04-03-2009, 04:17 AM
thankz sm

ShArArTi MuNdA
04-03-2009, 04:17 AM
Pyari maa mujh ko teri dua chahiye
tere anchal ki thandi hawa chahiye
pyari maa mujh ko teri dua chahiye

lori gaga ke mujh ko sulati hai to
muskura ker sawere jagati hai to
mujh ko iss ke siwa our kiya chahiye.

pyari maa mujh ko teri dua chahiye
tere anchal ki thandi hawa chahiye

teri mumta ke saye main pholo phalo
tham ker teri ungli main badhti chalon
aasra bus tere pyaar ka chahiye.

pyari maa mujh ko teri dua chahiye
tere anchal ki thandi hawa chahiye

teri kidmut se duniya main azmat mari
tere paao(payer) ke niche hai janaat mari
umar bhar sar per tera saya chahiye.

pari maa mujh ko teri dua chahiye
teri anchal ki thandi hawa chahiye
pari maa mujh ko teri dua chahiye...

ShArArTi MuNdA
04-03-2009, 04:19 AM
woh iss tarah meray gunahon ko dho deti hai,
MAA boht gusse main ho to ro deti hai,
labon py uss k kabhi baddua nahi ati,
BS ek MAA hai jo mujh sy khafa nahi hoti,
JB b kashti meri manjdhar main a jati hai,
MAA dua karte hue khawab main a jati hai….

ShArArTi MuNdA
04-03-2009, 04:20 AM
Is zulm ki duniya main faqat pyar meri maa,
Hay meray liye saya-e-dewar meri maa,
Nafrat k jazeron say mohabbat ki hadon tuk,
Bass pyar hai pyar hai bass piyar meri Maa!

ShArArTi MuNdA
04-03-2009, 04:21 AM
Maa ki 1 dua zindagi bana degi

khud roey gi magar tujhko hansa degi

Kabhi bhool k b Maa ko na rulana

Tumhari ek galti poora arssh hila degi

life2
04-03-2009, 11:35 PM
ye vasl kaa lamhaa hai ise raayegaaN na samajh
ke is ke baad vahii duuriyon kaa saharaa hai

nice munda..

life2
04-03-2009, 11:37 PM
Ye Laazmi Nahi Keh Ham Ko Har Din Yaad Karo
Mager ! Bhool Jao Is Ki Bhi Ijazat Nahi Tumhay
__________________

Nida-H
04-03-2009, 11:49 PM
Beautiful Collection..keep it up !!!

ShahTaJ
04-04-2009, 02:51 AM
very nice
keep it up

ShahTaJ
04-04-2009, 02:52 AM
http://img91.imageshack.us/img91/442/mahn1.jpg

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 03:15 AM
Thanks all of you for lykin

nice one shahtaj jeee jeee

keep visiting

dur-e-shahwar
04-04-2009, 04:15 AM
Maa ki 1 dua zindagi bana degi

khud roey gi magar tujhko hansa degi

Kabhi bhool k b Maa ko na rulana

Tumhari ek galti poora arssh hila degi

zabardast
bot achi hia ye tu

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 04:26 AM
radika jee pasand kerney ka shukriya

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 08:22 PM
Mujh ko ik baar to kehney dey muhabbat hey mujhey
dekhna tujh ko muhabbat se ibadat hey mujhey

terey chehrey mein hee kaabey ki ziarat hey mujhey
terey qadmo'n taley jannat ki basharat hey mujhey

meri dunya mein teri kitni zarort hey mujhey
teri dori hey mujhey hashr qayamat hey mujhey

mein terey lams ki har baat samjh leyti hon
teri khamosh nigahi bhe sama'at hey mujhey

bheer mein dunya ki ik khoi bachi hon
dhond kar roti hon tujh ko ,bari wehshat hey mujhey

choomna hath terey ,lab ki riyazat hey mujhey
mera sar goud mein rakh ley k , thkawat hey mujhey

janey mehshar mein terey naam se kia kuch na miley
ik terey ziker se dunya mein ye izzat hey mujhey

mere sar pe tera saya nahi hey jannat hey
teri takhleq hon, ye baa'is-e-rehmat hey mujhey

meri kotahiyon ko hans k jheelti kiun hey
mujh ko ik baar to kehney de nadamat hey mujhey

teri hasti se meri saans k sab rabt baney
tera hona mere honey ki zamanat hey mujhey

bnd mutthi mein utri hey wo khoshbo ban kar
teri ungli ko pakarney ki jo aadat hey mujhey

mera izhar-e-muhabbat hey muhabbat hey mujhey ,
mujh ko ik baar to kehney dey muhabbat hey mujhey

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 08:26 PM
Ek Maa ki Dua iss mulk ki har bete k naam

Dua hy us Mushkil-kusha se k teri sarri mushkilat door hoon,....

Dua hy us Ghafoor-uraheem se k tery ghunah bakhsh dy,....

Dua hy us Raheemm se k tujh pr apna reham kary,....

Dua hy us Rabul-alameen se k tujy apni hifzo-eman mein rakhy,....

Dua hy us Gani se k tujhy achey darjy se nawazy,....

Dua hy us Malik-e-kainat se k tujhy har khushi dy,....

Ameen,Ya rabul-Alamenn

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 08:30 PM
Teen lafzoon se milkar bana MAA ka naam
kudrat ne chupa diye is mein kitne paigham

“MEEM” se Mere “ALIF” se ALLAH “NOON” se hai Naimat
sab se pyari sab se nirali Allah ki rehmat

behte hue pani ki rawani hai MAA
doobtay soraj ki kahani hai MAA

har adamzaat ki mohabbat ka nichoor hai MAA
Maa ki mohabbat jisko naseeb ho

dunya ki har khushi us k karib ho
rotay hue mangi main ney yeh dua

meri umar bhi de meri MAA ko aye KHUDA

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 09:50 PM
Maa hai mohabbat ka naam,
Maa ko hazaaron salaam,
Karde fida zindagi,
Aaye jo bachon ke kaam

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 09:50 PM
Is zulem ke duniya main faqat pyari meri maa
Hai mery ley saya-e-diwar meri maa
Nafrat ki jazeron sy mohabat ke hadun tak
Bus pyari hai haan pyari hai pyari meri maa

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 09:53 PM
hontoon pay uskey kabhee baddua nahee hootee.......
bas ek maa hai jo mujh sai khafa nahee hootee........

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 09:54 PM
Sabse alag sabse pyaari hai maa
Mera dil hai vo vohi meri jaan
Uske pairo talley hai meri jannat
Ussi se hai yeh saara jahaan
Ek sache dost ki tarah hai
Mein hu zameen vo hai mera aasmaan

SHAYAN
04-04-2009, 09:58 PM
Suprb.. Munda ..

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 10:02 PM
Thanks Shayan mian

dur-e-shahwar
04-04-2009, 10:11 PM
v nyc

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 10:13 PM
shukriya radika jee

~*Gillanii
04-04-2009, 10:50 PM
Dushmano Ye Hoi Na Baat :0016: .. Chaaa Gaye Aap, Keep Sharing Yara :1:

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 11:10 PM
Dushmano Ye Hoi Na Baat :0016: .. Chaaa Gaye Aap, Keep Sharing Yara :1:

Pasand kerney ka bohat bohat shukriya sooli jeee

keep visiting :;shyy:

~*Gillanii
04-04-2009, 11:19 PM
Inshallah Zaroor :Peek a boo!:

ShahTaJ
04-04-2009, 11:30 PM
zaberdast
keep it up

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 11:38 PM
Thanks Shahtaj jeee

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 11:54 PM
Abrar ul Haq - Maa

tere bajon ay dukh dil da
das main kinu kaaan
maa tu yaad auno hat di

tere bajon ay dukh dil da
das main kinu kaan
maa tu chete aauno hat di na
maa tu yaad auno hat di na

tere bajon ay dukh dil da
das main kinu kaan
maa tu chete aauno hat di na
maa tu yaad auno hat di na

khairan mangdi rehndi sain tu
mere sir diyan maaye
ja ve putra tenu Allah
arshaan de rang laavey

khairan mangdi rehndi sain tu
mere sir diyan maaye
ja ve putra tenu Allah
arshaan de rang laavey

meri dolat izzat shohrat
sab kuch tere naa

maa tu chete aauno hat di na
maa tu yaad auno hat di na

ik wari chal khwaab che aaja
aakey seene laa ja
jera paambar balda ay maaye
aake aap bhujaa jaa

ik wari chal khwaab che aaja
aakey seene laa ja
jera paambar balda ay maaye
aake aap bhujaa jaa

teri yaad che athru keran
jad vi kala baan

maa tu chete aauno hat di na
maa tu yaad auno hat di na

maa jaya ghan chaawan boota
menu nazar na aawe
jis ton lay ke chaa udhaari
Rab vi bisht banavey

maa jaya ghan chaawan boota
menu nazar na aawe
jis ton lay ke chaa udhaari
Rab vi bisht banavey

tere hundeya teri qadar
koi jaaney na

maa tu chete aauno hat di na
maa tu yaad auno hat di na

tere bajon ay dukh dil da
das main kinu kaaan
maa tu chete aauno hat di na
maa tu yaad auno hat di na

maa tu chete aauno hat di na
maa tu yaad auno hat di na

ShArArTi MuNdA
04-04-2009, 11:54 PM
Sinay se laga kar kaha karti thi maa mujh ko
Tu Laal hai mera na sata mujh ko, Pachtaye gaa
Ek din jab mein chali jaon gi
Na chahtay hovay bhi akaila duniya mein chorr jaon gii
Zamana dikhaye ga garmi ki shiddat tujh ko
Yaad kar k roaye ga tu phir mujh ko,
Mudaton se meri Maa nay sinay se nahi Lagaya,
Ab so gai khak main jab kuch kehnay ka waqt aaya….

Habib
04-05-2009, 02:47 AM
Very nyce

dur-e-shahwar
04-05-2009, 10:54 PM
Maan Meri Maa~!
Main kia likhon teri hasti ke liay
Main lafzon main kese tashbeh don tere piyar ki
Meri zaat ko jo bakhsha hay tu nay
us rang ko kia naam doon
Main aks hoon teri zaat ka
Main tujh se kese juda rahon
Bas ashk hain meri ankhon men
Main kia kahon
Main kia likhon
Bas tere peron ki dhool hoon
Bas tere peron ki dhool hoon

dur-e-shahwar
04-05-2009, 11:00 PM
mehfil-e-waqt aur hur baad-e-gumaan ko rook rakha hy
hur ik hasid ki zehreeli zubaan ko rook rakha hy
utartii hi nahi is liye mujh pe koi aafat...
meri maa ki duaa ne aasmaan ko rook rakha hy

life2
04-05-2009, 11:35 PM
Ek pal jo usay bhulne ka sochta hun Mohsin,
Meri sansein meri takdir se ulajh jati hein ..

~*Gillanii
04-06-2009, 01:32 PM
Xcellent Radika & SM .. Keep Sharing :haaaappy:

life2
04-06-2009, 11:06 PM
Mother !! My Beautiful Angel

I remember those sleepless nights
When I used to wake up in tears
She would always be there to hold me
And say that everything was alright

I remember those times we shared
Tears and laughter were never in vain
My mother is an angel
Most importantly she's my angel

As I look back on those days
I can't help but thank God
For every special day
Given to me to enjoy
My mother's love and care

And on this special day
I'm proud to say
I love my mother
She's my angel every day

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 03:47 AM
nice sharings everyone

keep it up

&

Keep visiting :)

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 07:19 AM
Azeem Hasti Kahan Se Dhundoon
Main Ja K Tujh Ko
Azeem Hasti Main Tujh Ko Pane Ki Justajoo Main
Kahan Kahan Tak Nahi Gaya Hoon
Azeem Hasti Tujhe Khabar He
May Ki Kisi Tapti dupehar Main juda Hui Ho
Mujhe Batao K Tum Kahan Ho
K Dhoop Ki In Tamazton Ne Badan Hee Sara Jala Diya He
Azeem Hasti May Ki Har Tapti Dupehar Main
Tu Ik Shajar Thi
Ye Kya Khabar Thi
K Teri Chhaon Nahi Likhi Thi Muqadaron Main
Azeem Hasti Kahan Talashoon, Kahan Gai Ho
Jahan Kaheen Ho Nazar B Aao, Chali B Aao
Azeem Hasti Wo Hospital Ka Khanak Sa Kamra
K Jis Main Teri Timardari Ko Main Subah-o-Sham Aaya Karta
Wahan Nahi Ho Azeem Hasti
Kahan Gai Ho Azeem Hasti
Tum Apne Kamre Ki Har Ek Shai Main Dikhai Deti Ho Par Kahan Ho
Azeem Hasti Tumhari Hidat, Tumhari Ulfat Talashta Hoon
TUmhare Bistar Ko Dekhta Hoon Pukarta Hoon
Chali B Aao Chali B Aao
Chali BAao Azeem Hasti
K Sari Tujh Bin Udas Ho K Guzari Hen Subhen Shamen
Chali B Aao Chali B Aao Azeem Hasti

Jhuki Palkein
04-08-2009, 02:21 PM
Superb SM Jee,.

ShArArTi MuNdA
04-10-2009, 04:45 AM
Thanks Palkein jee

life2
04-11-2009, 01:04 AM
Waqt guzarta raha par saanse thami si thi,
muskura rahe the hum, par ankhoN meiN nami si thi,
sath hamare ye jahaaN tha sara
par na jane kio kisi ki kami si thi....

Owais AisH
04-15-2009, 08:51 AM
I really DOnt have any thing to Share For mY parents

Just it is Complicated to express mY feeling for my Parents

JUST TO SHARE

With out Them Im USELESS // NOTHING

Jhuki Palkein
04-15-2009, 02:41 PM
Nice One Life Jee !!

Jhuki Palkein
04-15-2009, 02:47 PM
Meri Maa , Tujhe Main Kya Kahoo'n ,.
Main Aaj Bhi Hoon , Wo Tera Kamaal Hai ,.
Mera Laal Jaane Kaisa Ho ,.
Har Waqt Tere Labo'n Pe Yehi Sawal Hai ,.

Koyi Kahe Jo Mujhko Bhala Bura ,.
Karti Tu Bada Bavaal Hai ,.
Meri Himmat Bhi Tu , Meri Taaqat Bhi Tu ,.
Karti Hifaazat Meri , Maa Tu Hi Meri Dhaal Hai ,.

Mera Acha Bura , Meri Har Pasand ,.
Ka Tujhko Bohat Khayal Hai ,.
Main Kahoo'n Bhi Na , Aur Wo Sun Bhi Lein ,.
Kuch Aisa Maa Tere Dil Ka Haal Hai ,.

Kya Kya Na Usne Saha Meri Aik Hassi Ke Vaaste ,.
Pal , Mahina , Din Nahi , Qurbaniya'n Uski Saal-o-Saal Hain ,.
Main Kaise Karoo'n Maa Tera Shukriyaa ,.
Teri Mamta Se "Ghayal" Malamaal Hai !!

life2
04-15-2009, 11:57 PM
Zindagi ki tapti dhoop mein aik thanda saaya paya hai main ne
Jab kholi ankh to apni maa ko muskurata hua paya hia main ne

Jab bhi maa ka naam liya,
Uska beshumaar pyar paya hai main ne

Jab koi dard mehsoos hua jab koi mushkil aayi
Apne pehlu mein apni maa ko paya hai main ne

Jagti rahi woh raat bhar mere liye
Jane kitni ratain jagaya hai main ne

Zindagi ke har morh par,jab hua gumrah main
Iski hidayat per,pakar li seedhi raah main ne

Jiski dua se har museebat loat jaye
Aisa farishta paya hai maine

Meri har fikar ko janne wali,
Mere jazbatoon ko pehchanne wali
Aisi hasti payi hai main ne

Meri zindagi sirf meri maa hai
Is ke liye to,
Is zindagi ki shama jala rakhi hai main ne

A L i
04-17-2009, 12:33 AM
very Nice

ShArArTi MuNdA
04-17-2009, 04:03 AM
Very Nice Sharing Jhuki Palkein jeee n life2 jeee

Thanks for sharing and keeep visiting

life2
04-18-2009, 11:36 PM
Maa se rishta aisa banaya jaae,
Jisko nigaaho me bithaya jae,
Rahe uska mera rishta kuch aisa k
Wo agar udaas ho to humse bhi muskuraya na jaae

ShArArTi MuNdA
04-18-2009, 11:41 PM
very nice janab

keep it up

keeep sharing

dur-e-shahwar
04-20-2009, 09:47 PM
v nyc sharing sis

Ghuncha
04-21-2009, 03:34 PM
MAAN K Lie Dua

Aye Allah Meri Maan Ko Lazawaal RaKhna

Mai RahOn Ya Na RahOn Un Ka KhayaL RaKhna

Meri KhushiYan B Le Le

Meri SanSen B Le Le

Magar Un k Gird Sada KhushiYon Ka JaaL RakHna

Ameen Sumaa Ameen

dur-e-shahwar
04-21-2009, 05:33 PM
v nyc api

Ghuncha
04-21-2009, 07:42 PM
Thanks

ShArArTi MuNdA
04-22-2009, 04:56 AM
nice sharing ghuncha

keeep visiting :p

K@IN@@T
04-22-2009, 12:49 PM
nice sharingggggggggggggg

Zara_Ansu
04-22-2009, 09:23 PM
very nice

ShArArTi MuNdA
04-24-2009, 04:08 AM
Thanks Hafsa n Zara Jeee

Irfa
04-24-2009, 05:03 PM
nice

(¯`•¸♥Faryal♥¸•´¯)
04-25-2009, 03:42 AM
nice

Ghuncha
04-28-2009, 04:01 PM
MaaN ...!!!

Koi BataYe Is Lafz Ka MatLab ?


Pyaar

WafaH

QurBaaNi

Muhabbat

ParwaaH

LaGan

SacHaye

KhuLoOs

PaKeeZgi

SukOon

KhidMat

MehNat

Duaa

SaaYa

Dost

Hamdard

RehNuma

Ustaad

Be GharZ

MasOoMiYat

Ibadat

Imaan

DiYaaNat

JazBah

JanNat

Ye Sab Meri MaaaN Ki KhoObiyOn Ki

Ek JhaLak Hai

Warna MaaN Ki KhoObiYan To Itni Hain

K LafZ KhataM Ho Jayen Per Tareef Khatam Na Hon :)

Bismill
04-29-2009, 05:29 AM
Munda bro, really good :)

(¯`•¸♥Faryal♥¸•´¯)
04-29-2009, 05:41 AM
nice ghun

dur-e-shahwar
04-29-2009, 06:14 AM
v nyc sis

(¯`•¸♥Faryal♥¸•´¯)
04-29-2009, 07:14 AM
Ek pedh jisne kabhi mujhe dhup lagne na di,
apne aanchal mein chupa ke rakha nazar kisi ki lagne na di

yaad ate hai bachpan ke din jab tu mujhe khilati thi,
har bar rone par tu hi mujhe hasati thi

Achi neend ke liye naajane kaha kaha
se nayi loria aur kahaniya lati thi,
ro padhta hai yeh dil yad karke woh din
jab haatho se apne khana khilati thi

Teri ungli pakad ke maine chalna sikha,
teri hi aankho se yeh sansar maine dekha.
bhagwan khud na aa ska is liye
shayad tujhe mere liye bhej diya,

nhi to woh bhi to hai yaha jinhe lawaris hi sansar mein chod diya.
aaj fer teri god mein sone ko dil kare,
tere hatho se khane ko dil bekrar hai

Yad aa gaye woh sunhere din,
dil aaj bhi us samay mein jane ko bekrar hai
bas ab yadein hi reh gyi yaad karne ko,
bachpan lot ke to aa nhi sakta,

tujhe kitna chata hu maa
tujhe kabhi yeh bta nhi sajkta
mera har saans tera ehsan hai..
jab chahe ise le lena,
chod ke na jana kabii chahe
meri sanse bhi mujhse le lena

ShArArTi MuNdA
04-29-2009, 07:17 AM
Very nice sharing Ghuncha & Faryal

Thanks for sharing and keeep visiting guys n keeep sharing goood onez :)

(¯`•¸♥Faryal♥¸•´¯)
04-29-2009, 07:20 AM
thanx

ShArArTi MuNdA
04-29-2009, 07:32 AM
!!**~~ Dedication to MOM ~~**!!

Yeh dil bhulata nahin hai muhabbatien uss ki
pari hovey thien mujhey kitney adateoin uss ki
yeh mera sara safar uss ki khushboon main kata
Mujhey tu rah dekhatein thien chahitein uss ki
ghiri hovey hoon main chehroon ki bheer main liken
Kahin nazar nahin atein shabahitein uss ki
main door honey lagi hoon tu aisa lagta hai
keh chaoon jasey thien mujh per rafaqtein uss ki
yeh kiss gali main,kiss shahir main nikal Aay
kahan pe reh giye loogo sadaqtein uss ki
Main barshoon main juda ho gi hoon uss se magar
yeh mera dil mere sansien hain Amanthein uss ki

ShArArTi MuNdA
04-29-2009, 07:36 AM
Jo sulajh na sake hum se aisa sawal bani hai
Tumhare baad ye zindagi musalsal azab lagi hai

Tumhare wajood se hi ghar tha ye makan
Har goshe mein ab is k weerani basi hai

Woh ankhen jinhe tum choomte the pyaar se
Tumhen talashti hain har su,in mein sirf nami hai

Duaon se tumhari kamyabiyan thien mera muqadar
Maa ki duaon ko ab ye taqdeer tarasti hai

Goud mein sar rakh kar zara zara si baat per rona
Ab to thak kar ye bahen deewaron se lipatti hain

Sab gawaya hai tumhen kho kar'paya to bas itna
Apno ki nazron mein bhi begangi mili hai

Likh nahi sakti k lafz nahi milte
Kaise kahon k kya khoya hai k kaisi kami hai

Apne nadaniyon se ise kabhi khone na dena
Maa jaisi jannat sirf ek baar milti hai

ShArArTi MuNdA
04-29-2009, 07:41 AM
"Kaash tu bhi to sunti jo humko tha kehna
Bin tere tanha nahi, humko yu rehna
Ab pata chala hei humko ke janat meri kahan hei
Janat wahan hei meri, jiss ghar mein meri maa hei"

ShArArTi MuNdA
04-29-2009, 07:52 AM
Maa ki Dua.. !

Safar mein jo Maa ki dua le gaya
Wo manzil ka apni pata le gaya
Use rasm-e-duniya pasand is qadar
Jafa deke mujhse wafa le gaya
Wo ek haadsa banke mujhse mila
Tabassum labon se chura le gaya
Sikandar ne jeeti thi kitni zameen
To do gaz se kya wo siva le gaya
Yaqeenan tha qaroon sabse ameer
Bataao jahan se wo kya le gaya
Banaai thi jannat jo shaddaad ne
To kya saath apne utha le gaya
Jalayegi kya usko dozakh ki aag
Jo dil ulfat-e-Mustafa le gaya
Ajab aadmi tha yaqeenan "*****"
Chiraaghon ke sang jo hawa le gaya.

(¯`•¸♥Faryal♥¸•´¯)
04-29-2009, 07:53 AM
nice sm

ShArArTi MuNdA
04-29-2009, 07:58 AM
Thanks for lykin it Faryal

ShArArTi MuNdA
04-29-2009, 07:58 AM
Zindagani Ke Safar Main Gardishoon Ki Dhoop Main
Jab Koye Saya Nahi Milta To Yaad Ati Hai Maa’n

Payar kahtay Hain Kise Aur Mamta Kiya Cheez Hai
Koye Un Bachoon Se Pochay Jin Ki Mar Jati Hai Maa’n

Ghar Se Jab PPardes Ja Ta Hai Kooye Noor-e-Nazar
Hath Main Qur’an Le Ker Dar Pe Aajati Hai Maa’n

De Ke Bachay Ko Zamanat Main Razaye Pak Ki
Peechay Peechay Sir Jhookaye Door Tak Jaati Hai Maa’n

Kanpti Aawaz Se Kehty Hai Baita “Ulwida”
Samnay Jab Tak Rahe Haatoon Ko Lehrati Hai Maa’n

Jab Perayshani Main Ghar Jatay Hain Hum Pardes Main
Ansoon Ko Poonchnay Khawaboon Main Aajati Hai Maa’n

Dair Ho Jati Hai Ghar Anay Main Aksar Jab Hamain
Rait Per MAchli Ho Jaisay Aisay Ghabrati Hai Maa

Martay Dum Tuk uska Bacha Na Ghar aye Pardes Se
Apni Dono Putliyaan Chokhat Pe Rukh Jati Hai Maa’n

Baad Mar Janai Kai Phir Baite Ki Khidmat Kai Leye
Bhaise Beti Ka Badal Kar Ghar Main Aajati Hai Maa

ShArArTi MuNdA
04-29-2009, 08:04 AM
Maa 'n.....
tere pheloo ki wo piyari si kushboo
mere khwaboon mein atiii ha
tere qadmoo kii wo aahut
jaisse....
phoolon ki sabaa se ekhlaahut
teri sundar haansi...
pankhadi k lub pe shabnum ki trhaaan
mere mathay p tere bosoon ki halwat..
aaj bhi mjhe mehkati haa
mere dil ki har kali
tere ehsas se khil si jati ha
maa 'n meri piyari maaa 'n
teray zanoo'n p sar rakh k
sone kii khowaish
teray shanoo n p ghum rakh k
ronay kii khowaish
jaise...
sulagti hoi besada barishoon ki khanak
lahoo m machalti hoi besamar
khwaishoon ki ramuq
aey meri maa 'n
aey meri piyarii maa 'n
apni har aah ko surd krnay ka jnoon
sisakti hoi har sanas ka skoon
teri aghosh mein
teri hii koud mein ha
pr najany kuin...
kihzan k jharokay se
saba muskrati ha
maa'n meri piyari maa'n

Owais AisH
04-29-2009, 09:23 AM
Great Dedication Yaar Sm

Keep it up As we all love our MOm

SHAYAN
04-29-2009, 10:00 PM
Zabardast Collection...

dur-e-shahwar
04-30-2009, 05:51 PM
v nyc

life2
04-30-2009, 10:37 PM
Har Aahat Ahsaas Dilaye Ge

Har Hawa Qissa Hamara Sunaye Ge

Ham Itni Yaadain

Basa Dain Gaye

Aap Kay Dil Main

Keh ................. !!!!

Na Chahatay Howay Bhi

Aap Ko Hamari Yaad Aye Ge

ShArArTi MuNdA
05-02-2009, 06:30 AM
Thanks all of you for visiting and lyking it :)

life
05-02-2009, 05:44 PM
so nice.................

dur-e-shahwar
05-05-2009, 08:39 PM
is jeevan ko bhol jati hon

jb teri gaud mein sar rakhti hon

tery pyar k aanchal mein chhupti hon

jb bhi duniya se darti hon

maa teri ik muskan se

har pal mein jeeti hon

life
05-10-2009, 02:43 AM
v nice...............

life
06-08-2009, 11:27 PM
v nice................

ShahTaJ
06-19-2009, 03:15 AM
jab umar tumhe tumhari
uss mod par le jaegi
tab dekhna tumhe yaad
maa ki har baat wo aayegi

wo baat baat bar poochna
ke kahin tum bhooke to nahin
baat dil mein hei, mujhse kaho
kahin mujhse roothe to nahin

koi aisa gham koi aisa dukh
bhala mujhe to tum batao beta
iss chand se chehre se tum
aansoon ko to hatao beta

jab tum pareshaan se hote ho
meri raton ki neend udh jaati hei
aankhon se mere, aansoon ki ladi
dua ban ke rab ke paas jaati hei

jab mein na hoon pareshaan mat hona
meri baton ko yaad kar ke mat rona
iss dunya mein kahan koi raha hei sada
in aankhon ko beta tum mat bhigona

mayoosion ke jab chaye badal hon
apne dil par haath rakh lena tum
band kar ke apni aankhon ko phir
ho jana meri un yadon mein ghum

mein janti hoon tumhari yadon mein
mein kabhi bhi marr nahi paongi
jitna bhi tum bhoolna chaho mujhe
mein utna hi tumhe yaad aaongi

"K.G"
06-19-2009, 03:31 AM
Zabardast

"K.G"
06-26-2009, 04:24 AM
Nice Thread Munda Bro

life2
06-26-2009, 10:37 PM
nyc

Khoala PrincesS
07-01-2009, 09:20 PM
ahhhh nice .. veryy nicce..

"K.G"
07-11-2009, 05:35 PM
zabardast hai

FAJAAN
07-13-2009, 08:02 PM
nyce

*RanG BazZ*
07-21-2009, 07:20 PM
aPNA JanU Cha Gaya Hai lol But Is Ki Kami Mehsosh B Ho Rahi Hai Kab Wapis Ana Hia BahI N MAA Jasi Hasti Duniya May HYia Kaha ..!! This Is fROM me.. !!

ShArArTi MuNdA
07-31-2009, 11:00 PM
Salam friends..

Thanks for all of you to visitin..sharing and lyking this thread.. hope u will all share some more nice stufff in here.

wicked sonya
08-01-2009, 02:00 AM
V nyc

wicked sonya
08-01-2009, 02:01 AM
Thanx 4 sharing

ShArArTi MuNdA
08-02-2009, 10:19 AM
Thanks for visiting and lykin it sonya

life
08-17-2009, 01:15 PM
nice............

life2
08-17-2009, 11:18 PM
nyc...

(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
08-17-2009, 11:20 PM
v nice thread

ShArArTi MuNdA
08-18-2009, 12:20 AM
Thanks all of you

SHAYAN
08-18-2009, 05:44 AM
:0017:

life2
08-20-2009, 07:47 AM
MAA


Dastaan Mere Laad Pyar Ki
Bas Ek Hasti K Gird Ghomti Hai,
Pyar Jannat Se Is Liye Hai Mjhey
Ye Meri Maa K Qadam Chumti Hai

Úƒƒƒ
08-22-2009, 07:55 AM
:0002:Duniya mein kaun kaun na yak baar ho gaya,
Par munh phir is tarf na kiya us ne jo gaya.

Phirti hai meri khaak saba dar-b-dar liye,
Ai chashm-e-ashkbaar yeh kya tujh ko ho gaya.

Aagah is jahaan mein nahin ghair be khudaan,
Jaaga wahi idhar se jo mund ankh so gaya.

Tufaan-e-Noah ne to dubai zamin faqt,
Main nang-e-khalq saari khudaai dabo gaya.

Barham kahin na ho gul-o-bulbul ki asshti,
Darta hun aaj baagh mein woh tund khu gaya.

Waiz kise darawe hai yom-ulhisab se,
Giriya mera to naama-e-aamal dho gaya.

Phulenge is zabaan mein bhi gulzar-e-maarfat,
Yaan main zamin-e-sheir mein yeh tukhm bo gaya.

Aya na aitdaal par hargiz mazaaj-e-dahar,
Main garche garm-o-sard-e-zamana samo gaya.

Ai Dard jis ki ankh khuli is jahan mein,
Shabnam ki tara jaan ko apni woh ro gaya

Hamna
09-05-2009, 08:43 AM
tfs................

ShArArTi MuNdA
09-16-2009, 11:27 PM
Thanks all & nice sharing by Ufff

life
10-03-2009, 04:44 PM
v nice...................

ShArArTi MuNdA
10-30-2009, 04:27 AM
Thanks....!

life2
10-31-2009, 11:11 PM
nyc munda/..

`~`^3^`~`DiL`~`^3^`~`
11-29-2009, 01:34 PM
nice shairing

yo love me
11-30-2009, 10:42 PM
Good jetey raho

yo love me
12-01-2009, 06:58 PM
Gud.....

MISS KHAN
01-03-2010, 02:17 AM
very nice

DeV!L
04-17-2010, 02:03 PM
Meri MAAA


Raat phir khuwaab main aa kar mujhse

Meri ammi ne kuch sawaal kiye

Usse pahley mujhey duaa ye di

Khuda karey ke tu sau saal jiye

Unki aankhon main mohobbat bhi thi,

Afsos bhi tha

Ek aanso bhi tha un aankhon main

Jo chillata bhi tha, khamosh bhi tha

Mujhse poocha ke betey kaisey ho

Koi diqqat to nahin hai tumko

Phir kaha!!!!

Tumko maloom hai kya

Main bari takleef main hoon

Jab se laiti hoon so nahin payee

Tumhaari wajah se main khul ke ro nahin payee

Terey gunaah mujhko saanp banke danstey hain

Farishtey aakar har roz fiqrey kastey hain

Tumhi bataao beta mainey kya kami ki thi

Merey samjhaney main kami thi kya

Ya meri tarbiyat adhoori thi

Kyon burey kaam roz kartey ho

Kyon nahin us khuda se dartey ho

Jisney tumko ye jaan bakshi hai

Jisney tumko amaan bakshi hai

Laut kar jiske paas jaana hai

Kya usey munh nahin dikhana hai

Kya tumhein is liye padaya tha

Kya tumhein yehi sab sikhaya tha

Ki apney ilm par Guroor karo

Apney nafs ko masroor karo

Jab bhi bolo to bas galat bolo

Zulm dekho to lab nahi kholo

Chorkar deen bhool kar mazhab

Apni auqaat note main taulo

Sach batao ki kya ye qissa hai

Kya ye andaaz meri tarbiyat ka hissa hai

Mujhko afsos nahin ke tu mujhey bhool gaya

Ranj ye hai ki mera jeena hi fizool gaya

Main to Jee key bhi roz marti hoon

Main tujhey roz yaad karti hoon

Jis tarah jeeney ka agaaz kiya hai tuney

Uskey anjaam se main darti hoon

Khuda karey ki tujhey ab bhi samajh aa jaye

Koi to aakey tujhey seedhee raah dikha jaye

Ki ikhtitaam ho teri gunah ki shaamon ka

Mujhey bhi ajr miley terey naik kaamon ka

SilentObserver
04-19-2010, 01:15 AM
shararti munda app nay sub kuch mera he likh dia mom kay baray (GOD BLESS U)

life2
04-19-2010, 10:01 PM
jab bhi hoti hay maire dil ki masjid may tairi yaadon ki azan (maa)
.apne hi aansuon se wazu kar k main taire jeene ki dua karti hoon

DeV!L
04-20-2010, 03:20 AM
Wow Realli Gud Life22

!«╬Ĵamil Malik╬«!
04-25-2010, 09:00 PM
Nice.......

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.